Jafa-e-charKH Ki Jaur-e-butan Nahin Hota, Urdu Ghazal By Muslim Ansari

Jafa-e-charKH Ki Jaur-e-butan Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muslim Ansari. Jafa-e-charKH Ki Jaur-e-butan Nahin Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jafa-e-charKH Ki Jaur-e-butan Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جفائے چرخ کہ جور بتاں نہیں ہوتا

مسلم انصاری

جفائے چرخ کہ جور بتاں نہیں ہوتا

وفا کے نام پہ کیا کیا یہاں نہیں ہوتا

وہ اپنی خوئے جفا تو نہیں بھلا بیٹھے

ہے بات کیا جو مرا امتحاں نہیں ہوتا

جو بے نیاز تقاضائے آستاں کر دے

وہ سجدہ دوش جبیں پر گراں نہیں ہوتا

خلوص جذبۂ تعمیر بھی ہے شرط اے دوست

کہ چار تنکوں کا نام آشیاں نہیں ہوتا

نگاہ یار کا انداز دلبری توبہ

میں لٹ گیا بھی مگر بد گماں نہیں ہوتا

یہ کیا بہار ہے کیسی یہ فصل گل مسلمؔ

کہ جس کو دیکھ کے دل شادماں نہیں ہوتا

مسلم انصاری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jafa-e-charKH Ki Jaur-e-butan Nahin Hota

Muslim Ansari

jafa-e-charKH ki jaur-e-butan nahin hota
wafa ke nam pe kya kya yahan nahin hota

wo apni KHu-e-jafa to nahin bhula baiThe
hai baat kya jo mera imtihan nahin hota

jo be-niyaz-e-taqaza-e-astan kar de
wo sajda dosh-e-jabin par garan nahin hota

KHulus-e-jazba-e-tamir bhi hai shart ai dost
ki chaar tinkon ka nam aashiyan nahin hota

nigah-e-yar ka andaz-e-dilbari tauba
main luT gaya bhi magar bad-guman nahin hota

ye kya bahaar hai kaisi ye fasl-e-gul 'muslim'
ki jis ko dekh ke dil shadman nahin hota

(551) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jafa-e-charKH Ki Jaur-e-butan Nahin Hota written by Muslim Ansari at UrduPoint. Jafa-e-charKH Ki Jaur-e-butan Nahin Hota is one of the masterpieces written by Muslim Ansari. You can also find the complete poetry collection of Muslim Ansari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muslim Ansari' above.

Jafa-e-charKH Ki Jaur-e-butan Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jafa-e-charKH Ki Jaur-e-butan Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.