Wahi Aati Wahi Jati Wahi Rukti Wahi BaDhti, Urdu Ghazal By Muzdam Khan

Wahi Aati Wahi Jati Wahi Rukti Wahi BaDhti is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muzdam Khan. Wahi Aati Wahi Jati Wahi Rukti Wahi BaDhti comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wahi Aati Wahi Jati Wahi Rukti Wahi BaDhti on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہی آتی وہی جاتی وہی رکتی وہی بڑھتی

مژدم خان

وہی آتی وہی جاتی وہی رکتی وہی بڑھتی

اسی سے دوستی ہوتی اسی سے دشمنی بڑھتی

مجھے جانے دیا ہوتا تو تم اتنی نہیں بجھتیں

مری رفتار بڑھتی اور تمہاری روشنی بڑھتی

میں کوئی راستہ تھوڑی تھا منزل تھا محبت کی

اگر پہلی نظر انداز کرتی دوسری بڑھتی

گلے پر نیزہ رکھ کر سر جھکانے کو کہا اس نے

میں مر جاتا اگر اس وقت مجھ میں عاجزی بڑھتی

مرے اجداد کا وحشی قبیلے سے تعلق تھا

تری وحشت بھی بڑھتی اور تری اولاد بھی بڑھتی

تقرب سے تجسس ختم ہو جاتا ہے چیزوں میں

اگر ہم دور ہوتے تو محبت واقعی بڑھتی

جو بڑھتی ہے اسے آگے نہیں بڑھنے دیا جاتا

جو ہٹتی ہے اسے کہتے ہیں تو تو لازمی بڑھتی

ہوا سے بھی زیادہ تیز تھی رفتار عریانی

مگر پھر بھی مری خواہش تھی تیری اوڑھنی بڑھتی

کوئی مجھ تک پہنچ جاتا تو میں تجھ تک پہنچ جاتا

کسی کی زندگی گھٹتی کسی کی زندگی بڑھتی

کوئی صحرا نہیں تھا میں جہاں طوفان آ جاتا

کوئی جنگل نہیں تھا میں جہاں چنگاری ہی بڑھتی

مچھیرے کی محبت جال بنواتی ہے مچھلی سے

ترا بس چلنے دیتے تو ہماری بے بسی بڑھتی

تعقل مرد میں ہوتا ہے اور جذبات عورت میں

مرے جیسا کوئی رکتا ترے جیسی کوئی بڑھتی

سہارا ملتا ہے کمزور کو شاطر کی جانب سے

میں زخمی ہوتا تو میری طرف بھی لومڑی بڑھتی

مژدم خان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wahi Aati Wahi Jati Wahi Rukti Wahi BaDhti

Muzdam Khan

wahi aati wahi jati wahi rukti wahi baDhti
usi se dosti hoti usi se dushmani baDhti

mujhe jaane diya hota to tum itni nahin bujhtin
meri raftar baDhti aur tumhaari raushni baDhti

main koi rasta thoDi tha manzil tha mohabbat ki
agar pahli nazar-andaz karti dusri baDhti

gale par neza rakh kar sar jhukane ko kaha us ne
main mar jata agar us waqt mujh mein aajizi baDhti

mere ajdad ka wahshi qabile se talluq tha
teri wahshat bhi baDhti aur teri aulad bhi baDhti

taqarrub se tajassus KHatm ho jata hai chizon mein
agar hum dur hote to mohabbat waqai baDhti

jo baDhti hai use aage nahin baDhne diya jata
jo haTti hai use kahte hain tu to lazmi baDhti

hawa se bhi ziyaada tez thi raftar-e-uryani
magar phir bhi meri KHwahish thi teri oDhni baDhti

koi mujh tak pahunch jata to main tujh tak pahunch jata
kisi ki zindagi ghaTti kisi ki zindagi baDhti

koi sahra nahin tha main jahan tufan aa jata
koi jangal nahin tha main jahan chingari hi baDhti

machhere ki mohabbat jal bunwati hai machhli se
tera bas chalne dete to hamari bebasi baDhti

taqqul mard mein hota hai aur jazbaat aurat mein
mere jaisa koi rukta tere jaisi koi baDhti

sahaara milta hai kamzor ko shatir ki jaanib se
main zaKHmi hota to meri taraf bhi lomDi baDhti

(1088) ووٹ وصول ہوئے

You can read Wahi Aati Wahi Jati Wahi Rukti Wahi BaDhti written by Muzdam Khan at UrduPoint. Wahi Aati Wahi Jati Wahi Rukti Wahi BaDhti is one of the masterpieces written by Muzdam Khan. You can also find the complete poetry collection of Muzdam Khan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muzdam Khan' above.

Wahi Aati Wahi Jati Wahi Rukti Wahi BaDhti is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wahi Aati Wahi Jati Wahi Rukti Wahi BaDhti, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.