Waqt-e-aKHir Yaad Hai Saqi Ki Mehmani Mujhe, Urdu Ghazal By Muztar Khairabadi

Waqt-e-aKHir Yaad Hai Saqi Ki Mehmani Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muztar Khairabadi. Waqt-e-aKHir Yaad Hai Saqi Ki Mehmani Mujhe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Waqt-e-aKHir Yaad Hai Saqi Ki Mehmani Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وقت آخر یاد ہے ساقی کی مہمانی مجھے

مضطر خیرآبادی

وقت آخر یاد ہے ساقی کی مہمانی مجھے

مرتے مرتے دے دیا انگور کا پانی مجھے

وہ مری صورت تو دیکھیں اپنی صورت کے لیے

کاش آئینہ بنا دے میری حیرانی مجھے

کٹ گیا ہے وصل سے پہلے زمانہ عمر کا

ہائے دھوکا دے گیا بہتا ہوا پانی مجھے

دامن صحرا سے لوں گا مر کے وحشت میں کفن

اک نیا جوڑا پنہائے گی یہ عریانی مجھے

میرے گل کو لا یا اپنے پھول لے جا عندلیب

ایسے کانٹوں سے نہیں پھانسیں نکلوانی مجھے

تم اگر چاہو تو مٹی سے ابھی پیدا ہوں پھول

میں اگر مانگوں تو دریا بھی نہ دے پانی مجھے

تشنہ کامی اس کو کہتے ہیں کہ بحر عشق میں

میں اگر اتروں تو اوپر پھینک دے پانی مجھے

ایسی مشکل تم نے ڈالی ہے کہ جب مر جاؤں گا

مدتوں رویا کرے گی میری آسانی مجھے

تو نے اتنی دی کہ مے خواری کی حسرت بہہ گئی

میں نے اتنی پی کہ آخر ہو گئی پانی مجھے

رونے جاتا ہوں میں اپنی حسرتوں کے ڈھیر پر

بے کسی آ کر سکھا دے مرثیہ خوانی مجھے

حشر میں چلنا پڑے گا ایک ٹیڑھا راستہ

کوچۂ جاناں سکھا دے ٹھوکریں کھانی مجھے

مضطرؔ اپنے حق کے کانٹے چن کے میں رخصت ہوا

اور کیا دیتی بہار گلشن فانی مجھے

مضطر خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Waqt-e-aKHir Yaad Hai Saqi Ki Mehmani Mujhe

Muztar Khairabadi

waqt-e-aKHir yaad hai saqi ki mehmani mujhe
marte marte de diya angur ka pani mujhe

wo meri surat to dekhen apni surat ke liye
kash aaina bana de meri hairani mujhe

kaT gaya hai wasl se pahle zamana umr ka
hae dhoka de gaya bahta hua pani mujhe

daman-e-sahra se lunga mar ke wahshat mein kafan
ek naya joDa pinhaegi ye uryani mujhe

mere gul ko la ya apne phul le ja andalib
aise kanTon se nahin fansen nikalwani mujhe

tum agar chaho to miTTi se abhi paida hon phul
main agar mangun to dariya bhi na de pani mujhe

tishna-kaami is ko kahte hain ki bahr-e-ishq mein
main agar utrun to upar phenk de pani mujhe

aisi mushkil tum ne Dali hai ki jab mar jaunga
muddaton roya karegi meri aasani mujhe

tu ne itni di ki mai-KHwari ki hasrat bah gai
main ne itni pi ki aaKHir ho gai pani mujhe

rone jata hun main apni hasraton ke Dher par
be-kasi aa kar sikha de marsiya-KHwani mujhe

hashr mein chalna paDega ek TeDha rasta
kucha-e-jaanan sikha de Thokaren khani mujhe

'muztar' apne haq ke kanTe chun ke main ruKHsat hua
aur kya deti bahaar-e-gulshan-e-fani mujhe

(459) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Waqt-e-aKHir Yaad Hai Saqi Ki Mehmani Mujhe written by Muztar Khairabadi at UrduPoint. Waqt-e-aKHir Yaad Hai Saqi Ki Mehmani Mujhe is one of the masterpieces written by Muztar Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Muztar Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muztar Khairabadi' above.

Waqt-e-aKHir Yaad Hai Saqi Ki Mehmani Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Waqt-e-aKHir Yaad Hai Saqi Ki Mehmani Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.