Ek Nai Botiqa, Urdu Nazam By Najma Mansoor

Ek Nai Botiqa is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Najma Mansoor. Ek Nai Botiqa comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Ek Nai Botiqa on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایک نئی بوطیقا

نجمہ منصور

سنو

تمہارے پھپھوند لگے جذبے

اب کسی کو متأثر نہیں کر سکتے

کیونکہ حروف تہجی سے لفظوں کی

ایک نئی بوطیقا لکھی جا رہی ہے

جس میں

میم سے محبت د سے درد اور ج سے جدائی نہیں

شاید ان لفظوں کو زنجیروں سے باندھ کر

کسی اندھے کنویں میں پھینک دیا گیا ہے

لفظ بھی اب تو سازشیں کرنے لگے ہیں

محبت کو دیوار میں چن کر

نفرتیں سینہ تان کر چلتی ہیں اور

دکھ خوشیوں کو پتی پتی بکھیر کر کھلکھلاتے ہیں

اور تو اور

اب پرندے بھی آسمانوں پر نہیں اڑتے کہ

کہیں کسی نا معلوم ڈرون کی زد میں آ کر

زمیں بوس نہ ہو جائیں

تتلی کے پروں پر نیل پڑے ہوئے ہیں اور

بھونرے دندناتے پھرتے ہیں

مگر کوئی آسماں نہیں پھٹتا

اس لئے سنو

لفظوں کی نئی بوطیقا لکھی جا رہی ہے تو

اور کچھ نہیں تو تم

اپنی آدھی ادھوری نظمیں

اس میں پیش لفظ کے طور پر شامل کر دو

اس سے پہلے کہ وہ

کسی آتش دان کا ایندھن بنیں یا

کسی کوڑے‌ دان سے ان کے پرزے

ہوا کے ہاتھ لگ جائیں

اور ہوا انہیں ریل کی پٹری پر پھینک آئے

اور اس سے بھی پہلے کہ نظمیں خود کشی کر لیں اور

لفظوں کی نوحہ خوانی سے دعائیں رستہ بھول جائیں

یا پھر آؤ ایسا کریں کہ

لفظوں کی نئی بوطیقا میں

وہی پرانے لفظ ہی کاشت کریں یعنی

میم سے محبت

د سے درد

اور ج سے جدائی

نجمہ منصور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Nai Botiqa

Najma Mansoor

suno
tumhaare phaphund lage jazbe
ab kisi ko mutassir nahin kar sakte
kyunki huruf-e-tahajji se lafzon ki
ek nai botiqa likhi ja rahi hai
jis mein
mim se mohabbat dal se dard aur jim se judai nahin
shayad in lafzon ko zanjiron se bandh kar
kisi andhe kuen mein phenk diya gaya hai
lafz bhi ab to sazishen karne lage hain
mohabbat ko diwar mein chun kar
nafraten sina tan kar chalti hain aur
dukh KHushiyon ko patti patti bikher kar khilkhilate hain
aur to aur
ab parinde bhi aasmanon par nahin uDte ki
kahin kisi na-malum drone ki zad mein aa kar
zamin-bos na ho jaen
titli ke paron par nil paDe hue hain aur
bhanwre dandanate phirte hain
magar koi aasman nahin phahTta
is liye suno
lafzon ki nai botiqa likhi ja rahi hai to
aur kuchh nahin to tum
apni aadhi adhuri nazmen
is mein pesh-e-lafz ke taur par shamil kar do
is se pahle ki wo
kisi aatish-dan ka indhan banen ya
kisi kuDe-dan se un ke purze
hawa ke hath lag jaen
aur hawa unhen rail ki paTri par phenk aae
aur is se bhi pahle ki nazmen KHud-kushi kar len aur
lafzon ki nauha-KHwani se duaen rasta bhul jaen
ya phir aao aisa karen ki
lafzon ki nai botiqa mein
wahi purane lafz hi kasht karen yani
mim se mohabbat
dal se dard
aur jim se judai

(506) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ek Nai Botiqa written by Najma Mansoor at UrduPoint. Ek Nai Botiqa is one of the masterpieces written by Najma Mansoor. You can also find the complete poetry collection of Najma Mansoor by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Najma Mansoor' above.

Ek Nai Botiqa is a widely read Urdu Nazam. If you like Ek Nai Botiqa, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.