Mohabbat Ko Kabhi Yaad Na Banne Dena, Urdu Nazam By Najma Mansoor

Mohabbat Ko Kabhi Yaad Na Banne Dena is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Najma Mansoor. Mohabbat Ko Kabhi Yaad Na Banne Dena comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Mohabbat Ko Kabhi Yaad Na Banne Dena on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبت کو کبھی یاد نہ بننے دینا

نجمہ منصور

کبھی محبت کو یاد نہ بننے دینا

تمہیں معلوم نہیں ہے

محبت یاد بن جائے تو

لمبے گھنے درختوں کی شاخوں کی مانند

بدن کے گرد

یوں لپٹ جاتی ہیں کہ سانسیں

رک رک کر آتی ہیں

ایک لمحہ کو

یوں لگتا ہے جیسے

زندگی اور موت کے بیچ خانہ جنگی میں

زندگی ہار جائے گی

مگر محبت کی سسکیاں

کچھ دیر سہم کر

چپ اوڑھ لیتی ہیں

اور پھر اس ایک لمحے کی موت

کئی صدیوں پر بھاری ہو جاتی ہے

سنو

بس اس ایک لمحے کی سیاہی

رگوں میں گھلنے سے پہلے

یہ جان لو

محبت کو کبھی یاد نہ بننے دینا

نجمہ منصور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohabbat Ko Kabhi Yaad Na Banne Dena

Najma Mansoor

kabhi mohabbat ko yaad na banne dena
tumhein malum nahin hai
mohabbat yaad ban jae to
lambe ghane daraKHton ki shaKHon ki manind
badan ke gird
yun lipaT jati hain ki sansen
ruk ruk kar aati hain
ek lamhe ko
yun lagta hai jaise
zindagi aur maut ke beach KHana-jangi mein
zindagi haar jaegi
magar mohabbat ki siskiyan
kuchh der saham kar
chup oDh leti hain
aur phir us ek lamhe ki maut
kai sadiyon par bhaari ho jati hai
suno
bas us ek lamhe ki syahi
ragon mein ghulne se pahle
ye jaan lo
mohabbat ko kabhi yaad na banne dena

(561) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mohabbat Ko Kabhi Yaad Na Banne Dena written by Najma Mansoor at UrduPoint. Mohabbat Ko Kabhi Yaad Na Banne Dena is one of the masterpieces written by Najma Mansoor. You can also find the complete poetry collection of Najma Mansoor by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Najma Mansoor' above.

Mohabbat Ko Kabhi Yaad Na Banne Dena is a widely read Urdu Nazam. If you like Mohabbat Ko Kabhi Yaad Na Banne Dena, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.