Sar Mein Sauda Nazar Aata Hai KHuda KHair Kare, Urdu Ghazal By Naqvi Mustafa Aabadi

Sar Mein Sauda Nazar Aata Hai KHuda KHair Kare is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naqvi Mustafa Aabadi. Sar Mein Sauda Nazar Aata Hai KHuda KHair Kare comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sar Mein Sauda Nazar Aata Hai KHuda KHair Kare on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سر میں سودا نظر آتا ہے خدا خیر کرے

نقوی مصطفیٰ آبادی

سر میں سودا نظر آتا ہے خدا خیر کرے

گھر بھی صحرا نظر آتا ہے خدا خیر کرے

آج بگڑے ہوئے تیور ہیں کچھ ان کے یارو

ہم کو کیا کیا نظر آتا ہے خدا خیر کرے

ہے بلا خیز پھر اک بار تموج دل میں

خوں برستا نظر آتا ہے خدا خیر کرے

ہم سے کہتے ہو اندھیروں کو اجالے سمجھو

شب پرو کیا نظر آتا ہے خدا خیر کرے

آج کیا ان کے تصور میں بہیں گے پھر اشک

غم کا دریا نظر آتا ہے خدا خیر کرے

تھا جگر تشنۂ فریاد تو دم گھٹتا تھا

دل بھی پیاسا نظر آتا ہے خدا خیر کرے

سامنے تھے تو نظر رخ سے نہیں ہٹتی تھی

اب تو پردا نظر آتا ہے خدا خیر کرے

چھوٹ تھی جلوۂ پیہم کی تو اندھیر سا تھا

اب اندھیرا نظر آتا ہے خدا خیر کرے

ہم کو ان سر بہ فلک قصر و عمارات کے گرد

غم کا ڈیرا نظر آتا ہے خدا خیر کرے

نقویٔؔ تشنہ جگر کی بھی بجھے گی کبھی پیاس

اب تو مرتا نظر آتا ہے خدا خیر کرے

نقوی مصطفیٰ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sar Mein Sauda Nazar Aata Hai KHuda KHair Kare

Naqvi Mustafa Aabadi

sar mein sauda nazar aata hai KHuda KHair kare
ghar bhi sahra nazar aata hai KHuda KHair kare

aaj bigDe hue tewar hain kuchh un ke yaro
hum ko kya kya nazar aata hai KHuda KHair kare

hai bala-KHez phir ek bar tamawwuj dil mein
KHun barasta nazar aata hai KHuda KHair kare

hum se kahte ho andheron ko ujale samjho
shab-paro kya nazar aata hai KHuda KHair kare

aaj kya un ke tasawwur mein bahenge phir ashk
gham ka dariya nazar aata hai KHuda KHair kare

tha jigar tishna-e-faryaad to dam ghuTta tha
dil bhi pyasa nazar aata hai KHuda KHair kare

samne the to nazar ruKH se nahin haTti thi
ab to parda nazar aata hai KHuda KHair kare

chhuT thi jalwa-e-paiham ki to andher sa tha
ab andhera nazar aata hai KHuda KHair kare

hum ko in sar-ba-falak qasr-o-imaraat ke gird
gham ka Dera nazar aata hai KHuda KHair kare

‘naqwi’-e-tishna-jigar ki bhi bujhegi kabhi pyas
ab to marta nazar aata hai KHuda KHair kare

(403) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sar Mein Sauda Nazar Aata Hai KHuda KHair Kare written by Naqvi Mustafa Aabadi at UrduPoint. Sar Mein Sauda Nazar Aata Hai KHuda KHair Kare is one of the masterpieces written by Naqvi Mustafa Aabadi. You can also find the complete poetry collection of Naqvi Mustafa Aabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naqvi Mustafa Aabadi' above.

Sar Mein Sauda Nazar Aata Hai KHuda KHair Kare is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sar Mein Sauda Nazar Aata Hai KHuda KHair Kare, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.