Ek Aam Si LaDki, Urdu Nazam By Naresh Kumar Shad

Ek Aam Si LaDki is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Naresh Kumar Shad. Ek Aam Si LaDki comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Ek Aam Si LaDki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایک عام سی لڑکی

نریش کمار شاد

وہ ایک عام سی لڑکی ہے دیکھ کر جس کو

نہ جانے کیوں مجھے ایسا خیال آتا ہے

کہ اس کے ہنسنے کا انداز یہ بتاتا ہے

ہوئی نہیں ہے غم دل سے رسم و راہ ابھی

پڑی نہیں ہے کوئی چوٹ ابھی رگ جاں پر

کسی نگاہ سے الجھی نہیں نگاہ ابھی

وہ ایک عام سی لڑکی اک ایسا جذبہ ہے

ملی نہیں جسے الفاظ میں پناہ ابھی

وہ ایک عام سی لڑکی ہے جیسے چھائی ہوئی

مرے جوان خیالوں پہ بے خودی کی طرح

خیال آتا ہے اک پھول بننے والی ہے

وہ کمسنی جو ہے منہ بند سی کلی کی طرح

جو رنگ بن کے ہے محبوس اس کے پیکر میں

وہ بوئے حسن تو پھیلے گی روشنی کی طرح

وہ ایک عام سی لڑکی ہے جس کے سادہ نقوش

چمک اٹھیں گے محبت کی سرد آہوں سے

جہاں پہ پھول تو کیا دل بجھے ہوئے ہوں گے

گزرنے والی ہے وہ ان حسین راہوں سے

ابھی تو خیر سے معصومیت ٹپکتی ہے

مگر شراب بھی ٹپکے گی ان نگاہوں سے

وہ ایک عام سی لڑکی ہے جس کے بارے میں

نہ جانے ذہن میں آتے ہیں کیوں خیال کئی

مگر بڑے ہی تحیر سے آج صبح کے وقت

سنی ہے میں نے محلے میں ایک بات نئی

گزشتہ شب کو وہی ایک عام سی لڑکی

خود اپنے گھر کے ملازم کے ساتھ بھاگ گئی

نریش کمار شاد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Aam Si LaDki

Naresh Kumar Shad

wo ek aam si laDki hai dekh kar jis ko
na jaane kyun mujhe aisa KHayal aata hai

ki us ke hansne ka andaz ye batata hai
hui nahin hai gham-e-dil se rasm-o-rah abhi
paDi nahin hai koi choT abhi rag-e-jaan par
kisi nigah se uljhi nahin nigah abhi
wo ek aam si laDki ek aisa jazba hai
mili nahin jise alfaz mein panah abhi
wo ek aam si laDki hai jaise chhai hui
mere jawan KHayalon pe be-KHudi ki tarah
KHayal aata hai ek phul banne wali hai
wo kam-sini jo hai munh-band si kali ki tarah
jo rang ban ke hai mahbus us ke paikar mein
wo bu-e-husn to phailegi raushni ki tarah

wo ek aam si laDki hai jis ke sada nuqush
chamak uTThenge mohabbat ki sard aahon se
jahan pe phul to kya dil bujhe hue honge
guzarne wali hai wo in hasin rahon se
abhi to KHair se masumiyat Tapakti hai
magar sharab bhi Tapkegi un nigahon se
wo ek aam si laDki hai jis ke bare mein
na jaane zehn mein aate hain kyun KHayal kai
magar baDe hi tahayyur se aaj subah ke waqt
suni hai main ne mohalle mein ek baat nai
guzishta shab ko wahi ek aam si laDki
KHud apne ghar ke mulazim ke sath bhag gai

(1069) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ek Aam Si LaDki written by Naresh Kumar Shad at UrduPoint. Ek Aam Si LaDki is one of the masterpieces written by Naresh Kumar Shad. You can also find the complete poetry collection of Naresh Kumar Shad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naresh Kumar Shad' above.

Ek Aam Si LaDki is a widely read Urdu Nazam. If you like Ek Aam Si LaDki, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.