Azal Se Apne Hi Hone Ke Intizar Mein Hun, Urdu Ghazal By Naseem Ajmal

Azal Se Apne Hi Hone Ke Intizar Mein Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Ajmal. Azal Se Apne Hi Hone Ke Intizar Mein Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Azal Se Apne Hi Hone Ke Intizar Mein Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ازل سے اپنے ہی ہونے کے انتظار میں ہوں

نسیم اجمل

ازل سے اپنے ہی ہونے کے انتظار میں ہوں

نمو پزیر ہوں لیکن ترے حصار میں ہوں

کہاں پتا تھا کہ اپنا ہی پیش و پس ہوں میں

کسے خبر تھی کہ تنہا کھڑا قطار میں ہوں

ترے وجود کی ہر دھوپ چھاؤں ہے جس میں

میں ریزہ ریزہ اسی خاک رہ گزار میں ہوں

یہیں کہیں تری نظروں سے گر کے بکھروں گا

میں شاخ سبز ابھی موسم بہار میں ہوں

صدائے قبر ادھر بھی کوئی کہ تیرے لئے

میں پا بجولاں بہت دشت بے کنار میں ہوں

فرار چاہوں تو جو کچھ ہے سب گنوا بیٹھوں

کچھ اس طرح تری آواز کے حصار میں ہوں

بتا گیا تھا پتا بس یوں ہی ہواؤں کو

کہاں خبر تھی کہ میں بھی ترے شمار میں ہوں

الگ نہ دیکھ بہت زرد زرد پھولوں سے

نظر اٹھا کہ میں چاروں طرف بہار میں ہوں

میں حرف حرف تجھے جسم و جاں میں لے جاؤں

کہ رنگ رنگ تری لوٹتی بہار میں ہوں

بکھر چکا ہے وہ اجملؔ صدائیں دے کے مجھے

کہ میں اسیر ہواؤں کے کار زار میں ہوں

نسیم اجمل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Azal Se Apne Hi Hone Ke Intizar Mein Hun

Naseem Ajmal

azal se apne hi hone ke intizar mein hun
numu-pazir hun lekin tere hisar mein hun

kahan pata tha ki apna hi pesh-o-pas hun main
kise KHabar thi ki tanha khaDa qatar mein hun

tere wajud ki har dhup chhanw hai jis mein
main reza-reza usi KHak-e-rahguzar mein hun

yahin kahin teri nazron se gir ke bikhrunga
main shaKH-e-sabz abhi mausam-e-bahaar mein hun

sada-e-qabr idhar bhi koi ki tere liye
main pa-ba-jaulan bahut dasht-e-be-kanar mein hun

farar chahun to jo kuchh hai sab ganwa baiThun
kuchh is tarah teri aawaz ke hisar mein hun

bata gaya tha pata bas yunhi hawaon ko
kahan KHabar thi ki main bhi tere shumar mein hun

alag na dekh bahut zard zard phulon se
nazar uTha ki main chaaron taraf bahaar mein hun

main harf-harf tujhe jism-o-jaan mein le jaun
ki rang-rang teri lauTti bahaar mein hun

bikhar chuka hai wo 'ajmal' sadaen de ke mujhe
ki main asir hawaon ke kar-zar mein hun

(3549) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Azal Se Apne Hi Hone Ke Intizar Mein Hun written by Naseem Ajmal at UrduPoint. Azal Se Apne Hi Hone Ke Intizar Mein Hun is one of the masterpieces written by Naseem Ajmal. You can also find the complete poetry collection of Naseem Ajmal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Ajmal' above.

Azal Se Apne Hi Hone Ke Intizar Mein Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Azal Se Apne Hi Hone Ke Intizar Mein Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.