Tujhe Maine Pa Ke Jo Kho Diya Ye Mere Nasib Ki Chaal Hai, Urdu Ghazal By Naseem Nikhat

Tujhe Maine Pa Ke Jo Kho Diya Ye Mere Nasib Ki Chaal Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Nikhat. Tujhe Maine Pa Ke Jo Kho Diya Ye Mere Nasib Ki Chaal Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tujhe Maine Pa Ke Jo Kho Diya Ye Mere Nasib Ki Chaal Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تجھے میں نے پا کے جو کھو دیا یہ مرے نصیب کی چال ہے

نسیم نکہت

تجھے میں نے پا کے جو کھو دیا یہ مرے نصیب کی چال ہے

مرے چارہ گر تجھے کیا خبر کہ بچھڑنا کتنا محال ہے

کسی غیر سے مری خیریت ترا پوچھنا بھی تو کم نہیں

مجھے یہ یقین تو ہو گیا تجھے اب بھی میرا خیال ہے

اٹھے زلزلے چلیں آندھیاں یہ چراغ پھر بھی نہیں بجھا

یہ کرم نہیں کسی اور کا تری رحمتوں کا کمال ہے

ہے عجیب موڑ پہ زندگی نہ تو غم رہا نہ خوشی رہی

نہ غرور ہے نہ سرور ہے نہ عروج ہے نہ زوال ہے

تری بے وفائی بھلا تو دوں مگر اس خیال کا کیا کروں

مرے بس میں کچھ بھی نہیں رہا مرے دل کے شیشے میں بال ہے

کہیں تتلیوں کا پتہ نہیں کہ پرندہ کوئی بچا نہیں

وہی پھول ہیں وہی خار ہیں وہی پیڑ ہے وہی ڈال ہے

وہ بچھڑ کے جینے کا فیصلہ تو مجھے بجھا کے چلا گیا

نہ یقین ہے نہ گمان ہے نہ مرے لبوں پہ سوال ہے

یہاں ہر طرف ہیں نمائشیں نہ دلوں کا چین نہ راحتیں

نہ وہ سادگی نہ وہ دل کشی نہ وہ حسن ہے نہ جمال ہے

نہ وہ خواب آنکھوں میں اونگھتے نہ وہ رات جگنے کے سلسلے

نہ وہ جنگلوں کی کہانیاں نہ وہ وحشتوں کا غزال ہے

نسیم نکہت

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tujhe Maine Pa Ke Jo Kho Diya Ye Mere Nasib Ki Chaal Hai

Naseem Nikhat

tujhe main ne pa ke jo kho diya ye mere nasib ki chaal hai
mere chaara-gar tujhe kya KHabar ki bichhaDna kitna muhaal hai

kisi ghair se meri KHairiyat tera puchhna bhi to kam nahin
mujhe ye yaqin to ho gaya tujhe ab bhi mera KHayal hai

uThe zalzale chalin aandhiyan ye charagh phir bhi nahin bujha
ye karam nahin kisi aur ka teri rahmaton ka kamal hai

hai ajib moD pe zindagi na to gham raha na KHushi rahi
na ghurur hai na surur hai na uruj hai na zawal hai

teri bewafai bhula to dun magar is KHayal ka kya karun
mere bas mein kuchh bhi nahin raha mere dil ke shishe mein baal hai

kahin titliyon ka pata nahin ki parinda koi bacha nahin
wahi phul hain wahi KHar hain wahi peD hai wahi Dal hai

wo bichhaD ke jine ka faisla to mujhe bujha ke chala gaya
na yaqin hai na guman hai na mere labon pe sawal hai

yahan har taraf hain numaishen na dilon ka chain na rahaten
na wo sadgi na wo dil-kashi na wo husn hai na jamal hai

na wo KHwab aankhon mein unghte na wo raat jagne ke silsile
na wo jangalon ki kahaniyan na wo wahshaton ka ghazal hai

(608) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tujhe Maine Pa Ke Jo Kho Diya Ye Mere Nasib Ki Chaal Hai written by Naseem Nikhat at UrduPoint. Tujhe Maine Pa Ke Jo Kho Diya Ye Mere Nasib Ki Chaal Hai is one of the masterpieces written by Naseem Nikhat. You can also find the complete poetry collection of Naseem Nikhat by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Nikhat' above.

Tujhe Maine Pa Ke Jo Kho Diya Ye Mere Nasib Ki Chaal Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tujhe Maine Pa Ke Jo Kho Diya Ye Mere Nasib Ki Chaal Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.