Jo Likhna Chaha Na Likh Paya Main KHuda Afsos, Urdu Ghazal By Naseem Shekh

Jo Likhna Chaha Na Likh Paya Main KHuda Afsos is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Shekh. Jo Likhna Chaha Na Likh Paya Main KHuda Afsos comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Likhna Chaha Na Likh Paya Main KHuda Afsos on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو لکھنا چاہا نہ لکھ پایا میں خدا افسوس

نسیم شیخ

جو لکھنا چاہا نہ لکھ پایا میں خدا افسوس

سو رہ گیا مری تحریر میں خلا افسوس

ہر ایک خواب کو اشکوں سے دھار کر میں نے

جو دیکھا دل تو دکھا جا بجا پڑا افسوس

بساط جاں میں رہا رقص خواہشوں کا مگر

چھلک کے آنکھوں سے اشکوں نے کہہ دیا افسوس

عجب نہیں ہے تو کیا ہے کوئی بتائے مجھے

یہاں پہ جو بھی ملا مل کے یہ کہا افسوس

میں اپنے ہاتھوں سے بن بن کے ریت جب نکلا

تو میرا سایا بھی کہتے ہوئے چلا افسوس

اٹھا کے لائی جو تقدیر آئنے کے حضور

تو درج چہرے پہ اور آئنے میں تھا افسوس

جو عکس میں نے ابھارا تھا دل کے کاغذ پر

قدم قدم پہ ندامت وہی بنا افسوس

میں خواہشوں کے جنازے کو پڑھ کے گھر آیا

کسی کے چہرے پہ خوشیاں کسی کے تھا افسوس

وہ ایک موج نسیمی تھی وحشت دل کی

کسی کے ہجر میں جس کو بہا دیا افسوس

لکھا ہوا تھا مقدر میں پی گیا کھل کر

تو کیسے کہہ دوں کے پی کر مجھے ہوا افسوس

نسیم شیخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Likhna Chaha Na Likh Paya Main KHuda Afsos

Naseem Shekh

jo likhna chaha na likh paya main KHuda afsos
so rah gaya meri tahrir mein KHala afsos

har ek KHwab ko ashkon se dhaar kar main ne
jo dekha dil to dikha ja-ba-ja paDa afsos

bisat-e-jaan mein raha raqs KHwahishon ka magar
chhalak ke aankhon se ashkon ne kah diya afsos

ajab nahin hai tu kya hai koi batae mujhe
yahan pe jo bhi mila mil ke ye kaha afsos

main apne hathon se ban ban ke ret jab nikla
to mera saya bhi kahte hue chala afsos

uTha ke lai jo taqdir aaine ke huzur
to darj chehre pe aur aaine mein tha afsos

jo aks main ne ubhaara tha dil ke kaghaz par
qadam qadam pe nadamat wahi bana afsos

main KHwahishon ke janaze ko paDh ke ghar aaya
kisi ke chehre pe KHushiyan kisi ke tha afsos

wo ek mauj-e-'nasimi' thi wahshat-e-dil ki
kisi ke hijr mein jis ko baha diya afsos

likha hua tha muqaddar mein pi gaya khul kar
to kaise kah dun ke pi kar mujhe hua afsos

(516) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Likhna Chaha Na Likh Paya Main KHuda Afsos written by Naseem Shekh at UrduPoint. Jo Likhna Chaha Na Likh Paya Main KHuda Afsos is one of the masterpieces written by Naseem Shekh. You can also find the complete poetry collection of Naseem Shekh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Shekh' above.

Jo Likhna Chaha Na Likh Paya Main KHuda Afsos is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Likhna Chaha Na Likh Paya Main KHuda Afsos, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.