Itab Mein Jo Tumhaare Dahan Se Nikle Hain, Urdu Ghazal By Naseer Koti

Itab Mein Jo Tumhaare Dahan Se Nikle Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseer Koti. Itab Mein Jo Tumhaare Dahan Se Nikle Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Itab Mein Jo Tumhaare Dahan Se Nikle Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عتاب میں جو تمہارے دہن سے نکلے ہیں

نصیر کوٹی

عتاب میں جو تمہارے دہن سے نکلے ہیں

وہ تیر تھے کہ شرارے بدن سے نکلے ہیں

فسون جلوہ گری کا کوئی اثر نہ ہوا

بہ قید ہوش تری انجمن سے نکلے ہیں

کوئی مقام اماں اب نظر نہیں آتا

بھری بہار میں شعلے چمن سے نکلے ہیں

غم حیات نے بخشی فسردگی کیسی

یہ آدمی ہیں کہ مردے کفن سے نکلے ہیں

نہ جانے کب سے مقدر تھی دشت پیمائی

ہزار خار مرے پیرہن سے نکلے ہیں

یہ رنگ صبح بہاراں یہ اپنی حیرانی

غضب خدا کا اندھیرے کرن سے نکلے ہیں

نصیر کوٹی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Itab Mein Jo Tumhaare Dahan Se Nikle Hain

Naseer Koti

itab mein jo tumhaare dahan se nikle hain
wo tir the ki sharare badan se nikle hain

fusun-e-jalwa-gari ka koi asar na hua
ba-qaid-e-hosh teri anjuman se nikle hain

koi maqam-e-aman ab nazar nahin aata
bhari bahaar mein shoale chaman se nikle hain

gham-e-hayat ne baKHshi fasurdagi kaisi
ye aadmi hain ki murde kafan se nikle hain

na-jaane kab se muqaddar thi dasht-paimai
hazar KHar mere pairahan se nikle hain

ye rang-e-subh-e-bahaaran ye apni hairani
ghazab KHuda ka andhere kiran se nikle hain

(372) ووٹ وصول ہوئے

You can read Itab Mein Jo Tumhaare Dahan Se Nikle Hain written by Naseer Koti at UrduPoint. Itab Mein Jo Tumhaare Dahan Se Nikle Hain is one of the masterpieces written by Naseer Koti. You can also find the complete poetry collection of Naseer Koti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseer Koti' above.

Itab Mein Jo Tumhaare Dahan Se Nikle Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Itab Mein Jo Tumhaare Dahan Se Nikle Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.