Yun Sari Umr Zist Ke Darman Mein Rah Gae, Urdu Ghazal By Natiq Azmi

Yun Sari Umr Zist Ke Darman Mein Rah Gae is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Natiq Azmi. Yun Sari Umr Zist Ke Darman Mein Rah Gae comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yun Sari Umr Zist Ke Darman Mein Rah Gae on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یوں ساری عمر زیست کے درماں میں رہ گئے

ناطق اعظمی

یوں ساری عمر زیست کے درماں میں رہ گئے

دامن سلا تو چاک گریباں میں رہ گئے

تحریر کر سکے نہ سفر نامۂ حیات

ہر موڑ پر تعین عنواں میں رہ گئے

منزل کو کچھ نہ راہ کی سوغات دے سکے

جو آبلے تھے خار مغیلاں میں رہ گئے

کانٹے چبھن ملال تھکن اور بے کسی

کیا کیا تھے ہم سفر جو بیاباں میں رہ گئے

کب موسم بہار گیا کچھ پتہ نہیں

ایسا الجھ کے جیب و گریباں میں رہ گئے

الزام یہ بجا ہے ترا اے خیال دوست

ہم دل نوازیٔ غم دوراں میں رہ گئے

شانہ کشوں نے دل کو بھی شانہ بنا دیا

خم پھر بھی کتنے گیسوئے دوراں میں رہ گئے

اک ایک کر کے داغ جگر دے رہے تھے لو

یوں ساری رات جشن چراغاں میں رہ گئے

رندوں نے اپنے خون سے مقتل سجا دئے

واعظ سرور بادۂ عرفاں میں رہ گئے

ہم کو تو زندگی تہ خنجر ہی مل گئی

سب جستجوئے چشمۂ حیواں میں رہ گئے

ناطقؔ کہاں ہے صفحۂ قرطاس کو خبر

کتنے خیال ذہن کے زنداں میں رہ گئے

ناطق اعظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yun Sari Umr Zist Ke Darman Mein Rah Gae

Natiq Azmi

yun sari umr zist ke darman mein rah gae
daman sila to chaak gareban mein rah gae

tahrir kar sake na safar-nama-e-hayat
har moD par tayyun-e-unwan mein rah gae

manzil ko kuchh na rah ki saughat de sake
jo aable the KHar-e-mughilan mein rah gae

kanTe chubhan malal thakan aur be-kasi
kya kya the ham-safar jo bayaban mein rah gae

kab mausam-e-bahaar gaya kuchh pata nahin
aisa ulajh ke jaib-o-gareban mein rah gae

ilzam ye baja hai tera ai KHayal-e-dost
hum dil-nawazi-e-gham-e-dauran mein rah gae

shana-kashon ne dil ko bhi shana bana diya
KHam phir bhi kitne gesu-e-dauran mein rah gae

ek ek kar ke dagh-e-jigar de rahe the lau
yun sari raat jashn-e-charaghan mein rah gae

rindon ne apne KHun se maqtal saja diye
waiz surur-e-baada-e-irfan mein rah gae

hum ko to zindagi tah-e-KHanjar hi mil gai
sab justuju-e-chashma-e-haiwan mein rah gae

'natiq' kahan hai safha-e-qirtas ko KHabar
kitne KHayal zehn ke zindan mein rah gae

(374) ووٹ وصول ہوئے

You can read Yun Sari Umr Zist Ke Darman Mein Rah Gae written by Natiq Azmi at UrduPoint. Yun Sari Umr Zist Ke Darman Mein Rah Gae is one of the masterpieces written by Natiq Azmi. You can also find the complete poetry collection of Natiq Azmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Natiq Azmi' above.

Yun Sari Umr Zist Ke Darman Mein Rah Gae is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yun Sari Umr Zist Ke Darman Mein Rah Gae, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.