Aman Na Pai Gham-o-fikr Se Kabhi Maine, Urdu Ghazal By Nayyar Damohi

Aman Na Pai Gham-o-fikr Se Kabhi Maine is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nayyar Damohi. Aman Na Pai Gham-o-fikr Se Kabhi Maine comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aman Na Pai Gham-o-fikr Se Kabhi Maine on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اماں نہ پائی غم و فکر سے کبھی میں نے

نیر دموہی

اماں نہ پائی غم و فکر سے کبھی میں نے

اسی گھٹن میں گزاری ہے زندگی میں نے

کسی کے نقش قدم پہ جھکا کے سر اپنا

بلند کر لیا معیار بندگی میں نے

غم حیات نے بخشا شعور جینے کا

اسی اندھیرے سے پائی ہے روشنی میں نے

تو ایک کرب کا دریا ہے اور کچھ بھی نہیں

تجھے قریب سے دیکھا ہے زندگی میں نے

طفیل رحمت عالم معاف کر مجھ کو

مرے کریم خطا کی ہے واقعی میں نے

کسی حسیں کی امانت سمجھ کے اے نیرؔ

گلے لگایا ہے غم کو خوشی خوشی میں. نے

نیر دموہی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aman Na Pai Gham-o-fikr Se Kabhi Maine

Nayyar Damohi

aman na pai gham-o-fikr se kabhi main ne
isi ghuTan mein guzari hai zindagi main ne

kisi ke naqsh-e-qadam pe jhuka ke sar apna
buland kar liya mear-e-bandagi main nai

gham-e-hayat ne baKHsha shuur jine ka
isi andhere se pai hai raushni main ne

tu ek karb ka dariya hai aur kuchh bhi nahin
tujhe qarib se dekha hai zindagi main ne

tufail-e-rahmat-e-alam muaf kar mujh ko
mere karim KHata ki hai waqai main ne

kisi hasin ki amanat samajh ke ai 'nayyar'
gale lagaya hai gham ko KHushi KHushi main ne

(376) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aman Na Pai Gham-o-fikr Se Kabhi Maine written by Nayyar Damohi at UrduPoint. Aman Na Pai Gham-o-fikr Se Kabhi Maine is one of the masterpieces written by Nayyar Damohi. You can also find the complete poetry collection of Nayyar Damohi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nayyar Damohi' above.

Aman Na Pai Gham-o-fikr Se Kabhi Maine is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aman Na Pai Gham-o-fikr Se Kabhi Maine, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.