KHulus-o-pyar Gar Ahl-e-chaman Ke Darmiyan Hota, Urdu Ghazal By Nazakat Ullah Khan Faiz

KHulus-o-pyar Gar Ahl-e-chaman Ke Darmiyan Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazakat Ullah Khan Faiz. KHulus-o-pyar Gar Ahl-e-chaman Ke Darmiyan Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHulus-o-pyar Gar Ahl-e-chaman Ke Darmiyan Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خلوص و پیار گر اہل چمن کے درمیاں ہوتا

نزاکت اللہ خاں فیضی

خلوص و پیار گر اہل چمن کے درمیاں ہوتا

چمن میں رہنا ہم کو کس لئے بار گراں ہوتا

چھپا رکھا اجل کی آنکھ سے اس ناتوانی نے

وگرنہ پیکر خاکی یہ جنت آشیاں ہوتا

فضیلت اس کو ثابت کرنی تھی انسان کی ورنہ

رسول آتے نہ دنیا میں نہ صحرا گلستاں ہوتا

لٹا کر دولت ہوش و خرد یہ مدعا پایا

ہمیں اے کاش کچھ اندازۂ سود و زیاں ہوتا

بساط آشیاں اے برق کیا دو چار تنکے تھے

مزہ تو جب تھا تیری زد میں سارا گلستاں ہوتا

عدالت میں ضرورت ہی نہ تھی جھوٹی گواہی کو

اگر جو خنجر قاتل حقیقت کی زباں ہوتا

نہ کرتے نفرتوں کی تخم ریزی ہم اگر فیضیؔ

تو یہ ہندوستاں اپنا وہی جنت نشاں ہوتا

نزاکت اللہ خاں فیضی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHulus-o-pyar Gar Ahl-e-chaman Ke Darmiyan Hota

Nazakat Ullah Khan Faiz

KHulus-o-pyar gar ahl-e-chaman ke darmiyan hota
chaman mein rahna hum ko kis liye bar-e-garan hota

chhupa rakha ajal ki aankh se is na-tawani ne
wagarna paikar-e-KHaki ye jannat-ashiyan hota

fazilat us ko sabit karni thi insan ki warna
rasul aate na duniya mein na sahra gulsitan hota

luTa kar daulat-e-hosh-o-KHirad ye muddaa paya
hamein ai kash kuchh andaza-e-sud-o-ziyan hota

bisat-e-ashiyan ai barq kya do-chaar tinke the
maza to jab tha teri zad mein sara gulsitan hota

adalat mein zarurat hi na thi jhuTi gawahi ko
agar jo KHanjar-e-qatil haqiqat ki zaban hota

na karte nafraton ki tuKHm-rezi hum agar 'faizi'
to ye hindostan apna wahi jannat-nishan hota

(294) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHulus-o-pyar Gar Ahl-e-chaman Ke Darmiyan Hota written by Nazakat Ullah Khan Faiz at UrduPoint. KHulus-o-pyar Gar Ahl-e-chaman Ke Darmiyan Hota is one of the masterpieces written by Nazakat Ullah Khan Faiz. You can also find the complete poetry collection of Nazakat Ullah Khan Faiz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazakat Ullah Khan Faiz' above.

KHulus-o-pyar Gar Ahl-e-chaman Ke Darmiyan Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHulus-o-pyar Gar Ahl-e-chaman Ke Darmiyan Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.