Ek Jhonka Is Tarah Zanjir-e-dar KhaDka Gaya, Urdu Ghazal By Nazeer Banarasi

Ek Jhonka Is Tarah Zanjir-e-dar KhaDka Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazeer Banarasi. Ek Jhonka Is Tarah Zanjir-e-dar KhaDka Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ek Jhonka Is Tarah Zanjir-e-dar KhaDka Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایک جھونکا اس طرح زنجیر در کھڑکا گیا

نذیر بنارسی

ایک جھونکا اس طرح زنجیر در کھڑکا گیا

میں یہ سمجھا بھولنے والے کو میں یاد آ گیا

عمر بھر کی بات بگڑی اک ذرا سی بات میں

ایک لمحہ زندگی بھر کی کمائی کھا گیا

اے زمیں تجھ کو محبت سے بسانے کے لیے

آسمانوں کی بلندی سے مجھے پھینکا گیا

انقلاب دہر برحق لیکن ایسا انقلاب

وہ کہیں پائے گئے اور میں کہیں پایا گیا

آئینہ دکھلانے آئے تھے پریشانی کے دن

تھا مرا چہرہ مگر مجھ سے نہ پہچانا گیا

آپ نے اپنی زباں سے جس کو اپنا کہہ دیا

وہ دوانہ ہر جگہ کھویا ہوا پایا گیا

خیریت کیا پوچھتے ہو گیسوئے حالات کی

وقت ہی الجھا گیا تھا وقت ہی سلجھا گیا

اس طرف جاتے ہوئے اب دل دہلتا ہے نذیرؔ

زندگی میں جس طرف سے بارہا آیا گیا

نذیر بنارسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Jhonka Is Tarah Zanjir-e-dar KhaDka Gaya

Nazeer Banarasi

ek jhonka is tarah zanjir-e-dar khaDka gaya
main ye samjha bhulne wale ko main yaad aa gaya

umr bhar ki baat bigDi ek zara si baat mein
ek lamha zindagi bhar ki kamai kha gaya

ai zamin tujh ko mohabbat se basane ke liye
aasmanon ki bulandi se mujhe phenka gaya

inqilab-e-dahr bar-haq lekin aisa inqalab
wo kahin pae gae aur main kahin paya gaya

aaina dikhlane aae the pareshani ke din
tha mera chehra magar mujh se na pahchana gaya

aap ne apni zaban se jis ko apna kah diya
wo diwana har jagah khoya hua paya gaya

KHairiyat kya puchhte ho gesu-e-haalat ki
waqt hi uljha gaya tha waqt hi suljha gaya

us taraf jate hue ab dil dahalta hai 'nazir'
zindagi mein jis taraf se bar-ha aaya gaya

(424) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ek Jhonka Is Tarah Zanjir-e-dar KhaDka Gaya written by Nazeer Banarasi at UrduPoint. Ek Jhonka Is Tarah Zanjir-e-dar KhaDka Gaya is one of the masterpieces written by Nazeer Banarasi. You can also find the complete poetry collection of Nazeer Banarasi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazeer Banarasi' above.

Ek Jhonka Is Tarah Zanjir-e-dar KhaDka Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ek Jhonka Is Tarah Zanjir-e-dar KhaDka Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.