Ye Jalwa-e-gah-e-KHas Hai Kuchh Aam Nahin Hai, Urdu Ghazal By Nazeer Banarasi

Ye Jalwa-e-gah-e-KHas Hai Kuchh Aam Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazeer Banarasi. Ye Jalwa-e-gah-e-KHas Hai Kuchh Aam Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Jalwa-e-gah-e-KHas Hai Kuchh Aam Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ جلوہ گۂ خاص ہے کچھ عام نہیں ہے

نذیر بنارسی

یہ جلوہ گۂ خاص ہے کچھ عام نہیں ہے

کمزور نگاہوں کا یہاں کام نہیں ہے

جس میں نہ چمکتے ہوں محبت کے ستارے

وہ شام اگر ہے تو مری شام نہیں ہے

کیا جانے محبت کی ہے یہ کون سی منزل

وہ ساتھ ہیں پھر بھی مجھے آرام نہیں ہے

تم سامنے خود آئے نوازش یہ تمہاری

اب میری نظر پر کوئی الزام نہیں ہے

افسوس وہ کب میری نظر دیکھ رہے ہیں

جب میری نظر میں کوئی پیغام نہیں ہے

شاید کہ نذیرؔ اٹھ چکا اب دل کا جنازہ

اب سانس کے پردوں میں وہ کہرام نہیں ہے

نذیر بنارسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Jalwa-e-gah-e-KHas Hai Kuchh Aam Nahin Hai

Nazeer Banarasi

ye jalwa-e-gah-e-KHas hai kuchh aam nahin hai
kamzor nigahon ka yahan kaam nahin hai

jis mein na chamakte hon mohabbat ke sitare
wo sham agar hai to meri sham nahin hai

kya jaane mohabbat ki hai ye kaun si manzil
wo sath hain phir bhi mujhe aaram nahin hai

tum samne KHud aae nawazish ye tumhaari
ab meri nazar par koi ilzam nahin hai

afsos wo kab meri nazar dekh rahe hain
jab meri nazar mein koi paigham nahin hai

shayad ki 'nazir' uTh chuka ab dil ka janaza
ab sans ke pardon mein wo kohram nahin hai

(672) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Jalwa-e-gah-e-KHas Hai Kuchh Aam Nahin Hai written by Nazeer Banarasi at UrduPoint. Ye Jalwa-e-gah-e-KHas Hai Kuchh Aam Nahin Hai is one of the masterpieces written by Nazeer Banarasi. You can also find the complete poetry collection of Nazeer Banarasi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazeer Banarasi' above.

Ye Jalwa-e-gah-e-KHas Hai Kuchh Aam Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Jalwa-e-gah-e-KHas Hai Kuchh Aam Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.