Teri Bazm-e-tarab Ki SarKHushi Kuchh Aur Kahti Hai, Urdu Ghazal By Nazim Sultanpuri

Teri Bazm-e-tarab Ki SarKHushi Kuchh Aur Kahti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazim Sultanpuri. Teri Bazm-e-tarab Ki SarKHushi Kuchh Aur Kahti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Teri Bazm-e-tarab Ki SarKHushi Kuchh Aur Kahti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تیری بزم طرب کی سر خوشی کچھ اور کہتی ہے

ناظم سلطانپوری

تیری بزم طرب کی سر خوشی کچھ اور کہتی ہے

مرے ماحول کی سنجیدگی کچھ اور کہتی ہے

فضائے شام مے خانہ ابھی کچھ اور کہتی ہے

ہماری شدت تشنہ لبی کچھ اور کہتی ہے

فروزاں تو ہے بام زندگی فن کے چراغوں سے

مگر عہد ہنر کی روشنی کچھ اور کہتی ہے

تمہاری چاک دامانی بہ فصل گل بجا یارو

مذاق عشق کی شائستگی کچھ اور کہتی ہے

تقاضا ہے تمہاری خستگی کا تم ٹھہر جاؤ

ہماری آبلہ پائی ابھی کچھ اور کہتی ہے

لہو روتے ہوئے گو عمر گزری ہے محبت میں

مگر قصے کی رنگینی ابھی کچھ اور کہتی ہے

ادائے شوخ جن آنکھوں میں ہوتی تھی تکلم کی

اب ان آنکھوں کی گہری خامشی کچھ اور کہتی ہے

بجا ہے پردہ داریٔ شکست آرزو ناظمؔ

ترے لب کی مگر پھیکی ہنسی کچھ اور کہتی ہے

ناظم سلطانپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Teri Bazm-e-tarab Ki SarKHushi Kuchh Aur Kahti Hai

Nazim Sultanpuri

teri bazm-e-tarab ki sarKHushi kuchh aur kahti hai
mere mahaul ki sanjidgi kuchh aur kahti hai

faza-e-sham-e-mai-KHana abhi kuchh aur kahti hai
hamari shiddat-e-tishna-labi kuchh aur kahti hai

farozan to hai baam-e-zindagi fan ke charaghon se
magar ahd-e-hunar ki raushni kuchh aur kahti hai

tumhaari chaak-damani ba-fasl-e-gul baja yaro
mazaq-e-ishq ki shaistagi kuchh aur kahti hai

taqaza hai tumhaari KHastagi ka tum Thahar jao
hamari aabla-pai abhi kuchh aur kahti hai

lahu rote hue go umr guzri hai mohabbat mein
magar qisse ki rangini abhi kuchh aur kahti hai

ada-e-shoKH jin aankhon mein hoti thi takallum ki
ab un aankhon ki gahri KHamushi kuchh aur kahti hai

baja hai parda-dari-e-shikast-e-arzu 'nazim'
tere lab ki magar phiki hansi kuchh aur kahti hai

(375) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Teri Bazm-e-tarab Ki SarKHushi Kuchh Aur Kahti Hai written by Nazim Sultanpuri at UrduPoint. Teri Bazm-e-tarab Ki SarKHushi Kuchh Aur Kahti Hai is one of the masterpieces written by Nazim Sultanpuri. You can also find the complete poetry collection of Nazim Sultanpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazim Sultanpuri' above.

Teri Bazm-e-tarab Ki SarKHushi Kuchh Aur Kahti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Teri Bazm-e-tarab Ki SarKHushi Kuchh Aur Kahti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.