Zaban Se Nafrat Kyun, Urdu Nazam By Nazish Partap Gadhi

Zaban Se Nafrat Kyun is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Nazish Partap Gadhi. Zaban Se Nafrat Kyun comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Zaban Se Nafrat Kyun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زباں سے نفرت کیوں

نازش پرتاپ گڑھی

جہاں بھی چھانوں گھنی ہو قیام کرتے چلو

ادب جہاں بھی ملے احترام کرتے چلو

ہر اک زبان کو یارو سلام کرتے چلو

گروہ کی ہے نہ فرقے کی اور نہ مذہب کی

زباں وراثت‌ انسانیت ہے ہم سب کی

زباں کے باب میں من اور تو کی حد کیسی

کوئی زبان ہو انساں کو اس سے کد کیسی

زبان پاک ہے گاؤں کی گوریوں کی طرح

زباں عظیم ہے ماؤں کی لوریوں کی طرح

زباں تسلسل تاریخ زندگانی ہے

زبان منازل تہذیب کی کہانی ہے

زبان بہتے ہوئے وقت کی روانی ہے

نظر میں ہو جو بلندی بھی اور وسعت بھی

تو ہر زبان میں اک حسن بھی ہے عظمت بھی

وہ رات کا ہے پجاری سحر کا دشمن ہے

جو ہے زبان کا دشمن بشر کا دشمن ہے

زمیں کا حسن ہے کھیتوں کی تازگی ہے زباں

رہٹ کی لے ہے تو پنگھٹ کی راگنی ہے زباں

گلی کا شور گھروں کی ہماہمی ہے زباں

جنون زیست کی آہٹ ہے گنگناہٹ ہے

زباں حیات کے ہونٹوں کی مسکراہٹ ہے

فریب و مصلحت و مکر و رسمیات نہیں

ریا کا ذکر بیان تکلفات نہیں

زبان اہل سیاست کے بس کی بات نہیں

زباں مچلتی ہے مٹی پہ چہچہوں کی طرح

زباں نکلتی ہے چلمن سے زمزموں کی طرح

زبان ابلتی ہے آنگن کے قہقہوں کی طرح

زبان بنتی ہے چوپال میں جواں کی طرح

زبان بنتی ہے بیٹھک میں داستاں کی طرح

زبان ڈھلتی ہے بازار میں دکانوں میں

زبان چلتی ہے کوچوں میں کارخانوں میں

زباں قدم بہ قدم سیڑھیوں پہ چڑھتی ہے

زبان پیار محبت سے آگے بڑھتی ہے

نہ دفتروں نہ کہیں فائلوں میں ڈھلتی ہے

زبان دھرتی کے سینے سے لگ کے چلتی ہے

زباں لبوں کا سلیقہ دلوں کا نور بھی ہے

زبان قوم کی عزت بھی ہے غرور بھی ہے

زباں عوام کی محنت بھی ہے شعور بھی ہے

کسی شعور سے آخر ہمیں عداوت کیوں

کوئی زبان ہو انساں کو اس سے نفرت کیوں

زبان پاک ہے گاؤں کی گوریوں کی طرح

زباں عظیم ہے ماؤں کی لوریوں کی طرح

نازش پرتاپ گڑھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zaban Se Nafrat Kyun

Nazish Partap Gadhi

jahan bhi chhanun ghani ho qayam karte chalo
adab jahan bhi mile ehtiram karte chalo
har ek zaban ko yaro salam karte chalo
giroh ki hai na firqe ki aur na mazhab ki
zaban wirasat-e-insaniyat hai hum sab ki
zaban ke bab mein man aur tu ki had kaisi
koi zaban ho insan ko us se kad kaisi
zaban pak hai ganw ki goriyon ki tarah
zaban azim hai maon ki loriyon ki tarah

zaban tasalsul-e-tariKH-e-zindagani hai
zaban manazil-e-tahzib ki kahani hai
zaban bahte hue waqt ki rawani hai
nazar mein ho jo bulandi bhi aur wusat bhi
to har zaban mein ek husn bhi hai azmat bhi
wo raat ka hai pujari sahar ka dushman hai
jo hai zaban ka dushman bashar ka dushman hai

zamin ka husn hai kheton ki tazgi hai zaban
rahaT ki lai hai to panghaT ki ragni hai zaban
gali ka shor gharon ki hamahami hai zaban
junun-e-zist ki aahaT hai gungunahaT hai
zaban hayat ke honTon ki muskurahaT hai
fareb-o-maslahat-o-makr-o-rasmiyat nahin
riya ka zikr bayan-e-takallufat nahin
zaban ahl-e-siyasat ke bas ki baat nahin

zaban machalti hai miTTi pe chahchahon ki tarah
zaban nikalti hai chilman se zamzamon ki tarah
zaban ubalti hai aangan ke qahqahon ki tarah
zaban banti hai chaupal mein jawan ki tarah
zaban banti hai baiThak mein dastan ki tarah
zaban Dhalti hai bazar mein dukanon mein
zaban chalti hai kuchon mein kar-KHanon mein
zaban qadam-ba-qadam siDhiyon pe chaDhti hai
zaban pyar mohabbat se aage baDhti hai
na daftaron na kahin filon mein Dhalti hai
zaban dharti ke sine se lag ke chalti hai

zaban labon ka saliqa dilon ka nur bhi hai
zaban qaum ki izzat bhi hai ghurur bhi hai
zaban awam ki mehnat bhi hai shuur bhi hai
kisi shuur se aaKHir hamein adawat kyun
koi zaban ho insan ko us se nafrat kyun
zaban pak hai ganw ki goriyon ki tarah
zaban azim hai maon ki loriyon ki tarah

(593) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zaban Se Nafrat Kyun written by Nazish Partap Gadhi at UrduPoint. Zaban Se Nafrat Kyun is one of the masterpieces written by Nazish Partap Gadhi. You can also find the complete poetry collection of Nazish Partap Gadhi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazish Partap Gadhi' above.

Zaban Se Nafrat Kyun is a widely read Urdu Nazam. If you like Zaban Se Nafrat Kyun, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.