Aa Ke Mujh Tak Kashti-e-mai Saqiya UlTi Phiri, Urdu Ghazal By Nazm Tabatabai

Aa Ke Mujh Tak Kashti-e-mai Saqiya UlTi Phiri is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazm Tabatabai. Aa Ke Mujh Tak Kashti-e-mai Saqiya UlTi Phiri comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aa Ke Mujh Tak Kashti-e-mai Saqiya UlTi Phiri on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آ کے مجھ تک کشتیٔ مے ساقیا الٹی پھری

نظم طبا طبائی

آ کے مجھ تک کشتیٔ مے ساقیا الٹی پھری

آج کیا ندی بہی الٹی ہوا الٹی پھری

آتے آتے لب پر آہ نارسا الٹی پھری

وہ بھی میرا ہی دبانے کو گلا الٹی پھری

مڑ کے دیکھا اس نے اور وار ابرووں کا چل گیا

اک چھری سیدھی پھری اور اک ذرا الٹی پھری

لا سکا نظارۂ رخسار روشن کی نہ تاب

جا کے آئینہ پہ چہرہ کی ضیا الٹی پھری

راست بازوں ہی کو پیسا آسماں نے رات دن

وائے قسمت جب پھری یہ آسیا الٹی پھری

جو بڑا بول ایک دن بولے تھے پیش آیا وہی

گنبد گردوں سے ٹکرا کر صدا الٹی پھری

رزق کھا کر غیر کی قسمت کا زنبور عسل

تو نے دیکھا حلق تک جا کر غذا الٹی پھری

تو ستائش گر ہے اس کا جو ہے تیرا مدح خواں

یہ تو اے مشفق ضمیر مرحبا الٹی پھری

جس پر آئی تھی طبیعت کی اسی نے کچھ نہ قدر

جنس دل مانند جنس ناروا الٹی پھری

یا تو کشی ڈوبتی تھی یا چلی ساحل سے دور

وائے ناکامی پھری بھی تو ہوا الٹی پھری

گرنے والا ہے کسی دشمن پہ کیا تیر شہاب

آسماں تک جا کے کیوں آہ رسا الٹی پھری

جی گیا میں اس کے آ جانے سے دشمن مر گیا

دیکھ کر عیسیٰ کو بالیں پر قضا الٹی پھری

مر گیا بے موت میں آخر اجل بھی دور ہے

کوچۂ قاتل کا بتلا کر پتا الٹی پھری

ہجر کی شب مجھ کو الٹی سانس لیتے دیکھ کر

ایک ہی دم میں وہاں جا کر صبا الٹی پھری

ہے مرا ویرانۂ غم نظمؔ ایسا ہولناک

موج سیل آئی تو لے کر بوریا الٹی پھری

نظم طبا طبائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aa Ke Mujh Tak Kashti-e-mai Saqiya UlTi Phiri

Nazm Tabatabai

aa ke mujh tak kashti-e-mai saqiya ulTi phiri
aaj kya naddi bahi ulTi hawa ulTi phiri

aate aate lab par aah-e-na-rasa ulTi phiri
wo bhi mera hi dabane ko gala ulTi phiri

muD ke dekha us ne aur war abruon ka chal gaya
ek chhuri sidhi phiri aur ek zara ulTi phiri

la saka nazzara-e-ruKHsar-e-raushan ki na tab
ja ke aaine pe chehre ki ziya ulTi phiri

rast-bazon hi ko pisa aasman ne raat din
wa-e-qismat jab phiri ye aasiya ulTi phiri

jo baDa bol ek din bole the pesh aaya wahi
gumbad-e-gardun se Takra kar sada ulTi phiri

rizq kha kar ghair ki qismat ka zambur-e-asal
tu ne dekha halq tak ja kar ghiza ulTi phiri

tu sataish-gar hai us ka jo hai tera madh-KHwan
ye to ai mushfiq zamir-e-marhaba ulTi phiri

jis par aai thi tabiat ki usi ne kuchh na qadr
jins-e-dil manind-e-jins-e-narawa ulTi phiri

ya to kushi Dubti thi ya chali sahil se dur
wae nakaami phiri bhi to hawa ulTi phiri

girne wala hai kisi dushman pe kya tir-e-shahab
aasman tak ja ke kyun aah-e-rasa ulTi phiri

ji gaya main us ke aa jaane se dushman mar gaya
dekh kar isa ko baalin par qaza ulTi phiri

mar gaya be-maut main aaKHir ajal bhi dur hai
kucha-e-qatil ka batla kar pata ulTi phiri

hijr ki shab mujh ko ulTi sans lete dekh kar
ek hi dam mein wahan ja kar saba ulTi phiri

hai mera virana-e-gham 'nazm' aisa haul-nak
mauj-e-sail aai to le kar boriya ulTi phiri

(415) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aa Ke Mujh Tak Kashti-e-mai Saqiya UlTi Phiri written by Nazm Tabatabai at UrduPoint. Aa Ke Mujh Tak Kashti-e-mai Saqiya UlTi Phiri is one of the masterpieces written by Nazm Tabatabai. You can also find the complete poetry collection of Nazm Tabatabai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazm Tabatabai' above.

Aa Ke Mujh Tak Kashti-e-mai Saqiya UlTi Phiri is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aa Ke Mujh Tak Kashti-e-mai Saqiya UlTi Phiri, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.