Phiri Hui Meri Aankhen Hain Tegh-zan Ki Taraf, Urdu Ghazal By Nazm Tabatabai

Phiri Hui Meri Aankhen Hain Tegh-zan Ki Taraf is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazm Tabatabai. Phiri Hui Meri Aankhen Hain Tegh-zan Ki Taraf comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Phiri Hui Meri Aankhen Hain Tegh-zan Ki Taraf on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پھری ہوئی مری آنکھیں ہیں تیغ زن کی طرف

نظم طبا طبائی

پھری ہوئی مری آنکھیں ہیں تیغ زن کی طرف

چلا ہے چھوڑ کے بسمل مجھے ہرن کی طرف

بنایا توڑ کے آئینہ آئینہ خانہ

نہ دیکھی راہ جو خلوت سے انجمن کی طرف

رہ وفا کو نہ چھوڑا وہ عندلیب ہوں میں

چھٹا قفس سے تو پرواز کی چمن کی طرف

گریز چاہئے طول امل سے سالک کو

سنا ہے راہ یہ جاتی ہے راہزن کی طرف

سرائے دہر میں سوؤ گے غافلو کب تک

اٹھو تو کیا تمہیں جانا نہیں وطن کی طرف

جو اہل دل ہیں الگ ہیں وہ اہل ظاہر سے

نہ میں ہوں شیخ کی جانب نہ برہمن کی طرف

جہان حادثہ آگین میں بشر کا ورود

گزر حباب کا دریائے موجزن کی طرف

اسی امید پہ ہم دن خزاں کے کاٹتے ہیں

کبھی تو باد بہار آئے گی چمن کی طرف

بچھڑ کے تجھ سے مجھے ہے امید ملنے کی

سنا ہے روح کو آنا ہے پھر بدن کی طرف

گواہ کون مرے قتل کا ہو محشر میں

ابھی سے سارا زمانہ ہے تیغ زن کی طرف

خبر دی اٹھ کے قیامت نے اس کے آنے کی

خدا ہی خیر کرے رخ ہے انجمن کی طرف

وہ اپنے رخ کی صباحت کو آپ دیکھتے ہیں

جھکے ہوئے گل نرگس ہیں یاسمن کی طرف

تمام بزم ہے کیا محو اس کی باتوں میں

نظر دہن کی طرف کان ہے سخن کی طرف

اسیر ہو گیا دل گیسوؤں میں خوب ہوا

چلا تھا ڈوب کے مرنے چہ ذقن کی طرف

یہ میکشوں کی ادا ابر تر بھی سیکھ گئے

کنار جو سے جو اٹھے چلے چمن کی طرف

زہے نصیب جو ہو کربلا کی موت اے نظمؔ

کہ اڑ کے خاک شفا آئے خود کفن کی طرف

نظم طبا طبائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Phiri Hui Meri Aankhen Hain Tegh-zan Ki Taraf

Nazm Tabatabai

phiri hui meri aankhen hain tegh-zan ki taraf
chala hai chhoD ke bismil mujhe hiran ki taraf

banaya toD ke aaina aaina-KHana
na dekhi rah jo KHalwat se anjuman ki taraf

rah-e-wafa ko na chhoDa wo andalib hun main
chhuTa qafas se to parwaz ki chaman ki taraf

gurez chahiye tul-e-amal se salik ko
suna hai rah ye jati hai rahzan ki taraf

sara-e-dahr mein sooge ghafilo kab tak
uTho to kya tumhein jaana nahin watan ki taraf

jo ahl-e-dil hain alag hain wo ahl-e-zahir se
na main hun shaiKH ki jaanib na barhaman ki taraf

jahan-e-hadsa-agin mein bashar ka warud
guzar habab ka dariya-e-maujzan ki taraf

isi umid pe hum din KHizan ke kaTte hain
kabhi to baad-e-bahaar aaegi chaman ki taraf

bichhaD ke tujh se mujhe hai umid milne ki
suna hai ruh ko aana hai phir badan ki taraf

gawah kaun mere qatl ka ho mahshar mein
abhi se sara zamana hai tegh-zan ki taraf

KHabar di uTh ke qayamat ne us ke aane ki
KHuda hi KHair kare ruKH hai anjuman ki taraf

wo apne ruKH ki sabahat ko aap dekhte hain
jhuke hue gul-e-nargis hain yasman ki taraf

tamam bazm hai kya mahw us ki baaton mein
nazar dahan ki taraf kan hai suKHan ki taraf

asir ho gaya dil gesuon mein KHub hua
chala tha Dub ke marne chah-e-zaqan ki taraf

ye mai-kashon ki ada abr-e-tar bhi sikh gae
kinar-e-ju se jo uTThe chale chaman ki taraf

zahe-nasib jo ho karbala ki maut ai 'nazm'
ki uD ke KHak-e-shifa aae KHud kafan ki taraf

(688) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Phiri Hui Meri Aankhen Hain Tegh-zan Ki Taraf written by Nazm Tabatabai at UrduPoint. Phiri Hui Meri Aankhen Hain Tegh-zan Ki Taraf is one of the masterpieces written by Nazm Tabatabai. You can also find the complete poetry collection of Nazm Tabatabai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazm Tabatabai' above.

Phiri Hui Meri Aankhen Hain Tegh-zan Ki Taraf is a widely read Urdu Ghazal. If you like Phiri Hui Meri Aankhen Hain Tegh-zan Ki Taraf, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.