MaiKHane Mein Ulfat Ke Nigahban Bahut Hain, Urdu Ghazal By Nihal Rizvi Lucknowi

MaiKHane Mein Ulfat Ke Nigahban Bahut Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nihal Rizvi Lucknowi. MaiKHane Mein Ulfat Ke Nigahban Bahut Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read MaiKHane Mein Ulfat Ke Nigahban Bahut Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میخانے میں الفت کے نگہبان بہت ہیں

نہال رضوی لکھنوی

میخانے میں الفت کے نگہبان بہت ہیں

اس چھوٹی سی بستی میں بھی انسان بہت ہیں

خود اپنی تباہی کا ہمیں رنج نہیں ہے

توہین محبت سے پریشان بہت ہیں

آج ان کو ہوا ہے غلط احساس کا احساس

آئینہ جو دیکھا ہے تو حیران بہت ہیں

میخانے میں روز آنے کی کیوں کرتا ہے زحمت

زاہد تری تبلیغ کے میدان بہت ہیں

آگاہ نہیں ہنسنے کے انجام سے شاید

وہ پھول جنہیں ہنسنے کے ارمان بہت ہیں

مغموم نہ ہو تنگ نگاہیٔ جہاں سے

بلقیس ادب تیرے سلیمان بہت ہیں

ساحل پہ پہنچنے کی کرے کون تمنا

دریا میں سفینے کے نگہبان بہت ہیں

بجلی کی صفت شعلہ فشانی ہی نہیں ہے

بجلی کی اماں میں بھی گلستان بہت ہیں

اے گیسوئے شب رنگ ہمیں بھی تو اماں دے

ہم کو بھی تری چھاؤں کے ارمان بہت ہیں

ہم نے تو یہ سمجھا ہے نہالؔ اب بھی غزل کو

کہنے کا سلیقہ ہو تو عنوان بہت ہیں

نہال رضوی لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

MaiKHane Mein Ulfat Ke Nigahban Bahut Hain

Nihal Rizvi Lucknowi

maiKHane mein ulfat ke nigahban bahut hain
is chhoTi si basti mein bhi insan bahut hain

KHud apni tabahi ka hamein ranj nahin hai
tauhin-e-mohabbat se pareshan bahut hain

aaj un ko hua hai ghalat ehsas ka ehsas
aaina jo dekha hai to hairan bahut hain

maiKHane mein roz aane ki kyon karta hai zahmat
zahid teri tabligh ke maidan bahut hain

aagah nahin hansne ke anjam se shayad
wo phul jinhen hansne ke arman bahut hain

maghmum na ho tang-nigahi-e-jahan se
bilqis-e-adab tere sulaiman bahut hain

sahil pe pahunchne ki kare kaun tamanna
dariya mein safine ke nigahban bahut hain

bijli ki sifat shoala-fishani hi nahin hai
bijli ki aman mein bhi gulistan bahut hain

ai gesu-e-shab-rang hamein bhi to aman de
hum ko bhi teri chhanw ke arman bahut hain

hum ne to ye samjha hai 'nihaal' ab bhi ghazal ko
kahne ka saliqa ho to unwan bahut hain

(330) ووٹ وصول ہوئے

You can read MaiKHane Mein Ulfat Ke Nigahban Bahut Hain written by Nihal Rizvi Lucknowi at UrduPoint. MaiKHane Mein Ulfat Ke Nigahban Bahut Hain is one of the masterpieces written by Nihal Rizvi Lucknowi. You can also find the complete poetry collection of Nihal Rizvi Lucknowi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nihal Rizvi Lucknowi' above.

MaiKHane Mein Ulfat Ke Nigahban Bahut Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like MaiKHane Mein Ulfat Ke Nigahban Bahut Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.