Wo Ek ShaKHs Ki Jo Aaftab Jaisa Hai, Urdu Ghazal By Niyaz Husain Lakhwera

Wo Ek ShaKHs Ki Jo Aaftab Jaisa Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Niyaz Husain Lakhwera. Wo Ek ShaKHs Ki Jo Aaftab Jaisa Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Ek ShaKHs Ki Jo Aaftab Jaisa Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ ایک شخص کہ جو آفتاب جیسا ہے

نیاز حسین لکھویرا

وہ ایک شخص کہ جو آفتاب جیسا ہے

قریب آئے تو تازہ گلاب جیسا ہے

خدا کرے کہ کبھی بھی نہ ٹوٹنے پائے

یہ تیرا میرا ملن ایک خواب جیسا ہے

ذرا بھی تیز ہوا ہو تو کانپ اٹھتا ہے

وہ خوش جمال تو شاخ گلاب جیسا ہے

کچھ ایسے لگتا ہے جیسے گزر گئیں صدیاں

تری جدائی کا موسم عذاب جیسا ہے

سمے کے تیز بگولوں کی زد میں ٹھہرا ہوں

مرے وجود کا دریا حباب جیسا ہے

تری جبیں پہ عبارت ہے دین عشق نیازؔ

ترا وجود مقدس کتاب جیسا ہے

نیاز حسین لکھویرا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Ek ShaKHs Ki Jo Aaftab Jaisa Hai

Niyaz Husain Lakhwera

wo ek shaKHs ki jo aaftab jaisa hai
qarib aae to taza gulab jaisa hai

KHuda kare ki kabhi bhi na TuTne pae
ye tera mera milan ek KHwab jaisa hai

zara bhi tez hawa ho to kanp uThta hai
wo KHush-jamal to shaKH-e-gulab jaisa hai

kuchh aise lagta hai jaise guzar gain sadiyan
teri judai ka mausam azab jaisa hai

samay ke tez bagulon ki zad mein Thahra hun
mere wajud ka dariya habab jaisa hai

teri jabin pe ibarat hai din-e-ishq 'niyaz'
tera wajud muqaddas kitab jaisa hai

(427) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Ek ShaKHs Ki Jo Aaftab Jaisa Hai written by Niyaz Husain Lakhwera at UrduPoint. Wo Ek ShaKHs Ki Jo Aaftab Jaisa Hai is one of the masterpieces written by Niyaz Husain Lakhwera. You can also find the complete poetry collection of Niyaz Husain Lakhwera by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Niyaz Husain Lakhwera' above.

Wo Ek ShaKHs Ki Jo Aaftab Jaisa Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Ek ShaKHs Ki Jo Aaftab Jaisa Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.