Mauj-e-dariya Ke Labon Par Tishnagi Hai Karbala, Urdu Ghazal By Nuzhat Abbasi

Mauj-e-dariya Ke Labon Par Tishnagi Hai Karbala is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nuzhat Abbasi. Mauj-e-dariya Ke Labon Par Tishnagi Hai Karbala comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mauj-e-dariya Ke Labon Par Tishnagi Hai Karbala on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

موج دریا کے لبوں پر تشنگی ہے کربلا

نزہت عباسی

موج دریا کے لبوں پر تشنگی ہے کربلا

ریگ ساحل پر تڑپتی زندگی ہے کربلا

صبر کی اور ضبط کی یہ منزلیں ہیں آخری

عزم اہل بیت کا کیا دیکھتی ہے کربلا

حق کبھی جھکتا نہیں ہے سر بھی کٹ جائے اگر

ذہن و دل کے واسطے اک آگہی ہے کربلا

کیوں سکینہ اور زینب اس قدر خاموش ہیں

دور تک صحرا میں دیکھو خامشی ہے کربلا

مٹ گیا ہے فرق سب فردا میں اور دیروز میں

مات دے کر رخش دوراں کو چلی ہے کربلا

تا قیامت ذکر سے روشن رہے گی یہ زمیں

ظلمتوں کی شام میں اک روشنی ہے کربلا

اے غم شام غریباں اے شب تار الم

اہل دل کو روز و شب تڑپا رہی ہے کربلا

نزہت عباسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mauj-e-dariya Ke Labon Par Tishnagi Hai Karbala

Nuzhat Abbasi

mauj-e-dariya ke labon par tishnagi hai karbala
reg-e-sahil par taDapti zindagi hai karbala

sabr ki aur zabt ki ye manzilen hain aaKHiri
azm ahl-e-bait ka kya dekhti hai karbala

haq kabhi jhukta nahin hai sar bhi kaT jae agar
zehn-o-dil ke waste ek aagahi hai karbala

kyun sakina aur zainab is qadar KHamosh hain
dur tak sahra mein dekho KHamushi hai karbala

miT gaya hai farq sab farda mein aur diroz mein
mat de kar raKHsh-e-dauran ko chali hai karbala

ta-qayamat zikr se raushan rahegi ye zamin
zulmaton ki sham mein ek raushni hai karbala

ai gham-e-sham-e-ghariban ai shab-e-tar-e-alam
ahl-e-dil ko roz-o-shab taDpa rahi hai karbala

(578) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mauj-e-dariya Ke Labon Par Tishnagi Hai Karbala written by Nuzhat Abbasi at UrduPoint. Mauj-e-dariya Ke Labon Par Tishnagi Hai Karbala is one of the masterpieces written by Nuzhat Abbasi. You can also find the complete poetry collection of Nuzhat Abbasi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nuzhat Abbasi' above.

Mauj-e-dariya Ke Labon Par Tishnagi Hai Karbala is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mauj-e-dariya Ke Labon Par Tishnagi Hai Karbala, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.