Mera Pyara Hai Na-farman Hamesha Aur Pyaron Mein, Urdu Ghazal By Obaidullah Khan Mubtala

Mera Pyara Hai Na-farman Hamesha Aur Pyaron Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Obaidullah Khan Mubtala. Mera Pyara Hai Na-farman Hamesha Aur Pyaron Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mera Pyara Hai Na-farman Hamesha Aur Pyaron Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مرا پیارا ہے نا فرماں ہمیشہ اور پیاروں میں

عبید اللہ خاں مبتلا

مرا پیارا ہے نا فرماں ہمیشہ اور پیاروں میں

نہیں دیکھا کسو نے لالہ رو ایسا ہزاروں میں

اپس عشاق کوں پہچانتے ہیں خوب خوش چشماں

عجب مردم شناسی ہے نرائن کے اشاروں میں

تری زلفاں کے پیچ و تاب کی تعریف کوں سن کر

گیا پاتال کو باسک خجالت کھینچ ماروں میں

بسے ہیں شوق سوں جا کر گلوں میں رات کوں شاید

کہ آتی ہے گل‌ انداماں کے باسی باس ہاروں میں

ڈرے کیوں شیر دل عاشق رقیباں کے بدکنے سوں

کوئی باور نہیں کرتا شجاعت ان چکاروں میں

درازی جب دیا بلداں کو تیری زلف لمبی نے

برائی تب لگی کرنے کو ہر شب بیٹھ تاروں میں

اپس کوں خاک کر گلزار ہونا ہے اگر تجھ کوں

نہیں آیا نظر میں سبزہ‌ خار اوپر بہاروں میں

بلا گرداں ہوئے گر دیکھ کر آہو اچنبھا نئیں

کہ ہوئے ہے محو نرگس تیری انکھیاں کے نظاروں میں

پری‌ رویان گلشن سوں لے آئی سیم و زر نرگس

نظر بازاں بجا گنتے ہیں اوس کوں مالداروں میں

نہ کہہ سیماب کے مانند میرے دل کوں اے چنچل

ترا بیتاب ہے ممتاز سارے بے قراروں میں

نکلنا ماہ رو کے دام سے دشوار ہے یاراں

رہا ہے مبتلاؔ کا دل الجھ زلفاں کے تاروں میں

عبید اللہ خاں مبتلا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mera Pyara Hai Na-farman Hamesha Aur Pyaron Mein

Obaidullah Khan Mubtala

mera pyara hai na-farman hamesha aur pyaron mein
nahin dekha kasu ne lala-ru aisa hazaron mein

apas ushshaq kun pahchante hain KHub KHush-chashman
ajab mardum-shanasi hai narain ke ishaaron mein

teri zulfan ke pech-o-tab ki tarif kun sun kar
gaya patal ko basuk KHajalat khinch maron mein

base hain shauq sun ja kar gulon mein raat kun shayad
ki aati hai gul-andaman ke basi bas haaron mein

Dare kyun sher-dil-ashiq raqiban ke bidakne sun
koi bawar nahin karta shujaat in chakaron mein

daraazi jab diya yaldan ko teri zulf lambi ne
burai tab lagi karne ko har shab baiTh taron mein

apas kun KHak kar gulzar hona hai agar tujh kun
nahin aaya nazar mein sabza-KHar upar bahaaron mein

bila gardan hue gar dekh kar aahu achambha nain
ki hoe hai mahw nargis teri ankhiyan ke nazaron mein

pari-ruyan-e-gulshan sun le aai sim-o-zar nargis
nazar-bazan baja ginte hain us kun maldaron mein

na kah simab ke manind mere dil kun ai chanchal
tera betab hai mumtaz sare be-qararon mein

nikalna mah-ru ke dam se dushwar hai yaran
raha hai 'mubtala' ka dil ulajh zulfan ke taron mein

(520) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mera Pyara Hai Na-farman Hamesha Aur Pyaron Mein written by Obaidullah Khan Mubtala at UrduPoint. Mera Pyara Hai Na-farman Hamesha Aur Pyaron Mein is one of the masterpieces written by Obaidullah Khan Mubtala. You can also find the complete poetry collection of Obaidullah Khan Mubtala by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Obaidullah Khan Mubtala' above.

Mera Pyara Hai Na-farman Hamesha Aur Pyaron Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mera Pyara Hai Na-farman Hamesha Aur Pyaron Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.