Metro Shahr Ki Ek Aam LaDki, Urdu Nazam By Ozair Rahman

Metro Shahr Ki Ek Aam LaDki is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ozair Rahman. Metro Shahr Ki Ek Aam LaDki comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Metro Shahr Ki Ek Aam LaDki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میٹرو شہر کی ایک عام لڑکی

عزیر رحمان

کان پک جاتے ہیں دنیا کی شکایت سن کر

کس نے جانا ہے تمہیں کس کا یقیں کر لوں میں

وو جو کہتے ہیں کے تم عام سی لڑکی ہو جسے

فکر اپنی ہے کسی اور سے مطلب ہی نہیں

اپنی روزانہ کی روٹین میں میں جکڑی جکڑی

وہ ہی میٹرو کی سواری وہ ہی آپا دھاپی

تل نہ دھرنے کی جگہ پھر بھی پہنچنا ہے جسے

اپنی ہر چیز سنبھالے ہوئے رہنا ہے جسے

کون آیا ہے پس و پیش سمجھنے کے لئے

کون آئے گا یہ تصویر بدلنے کے لئے

کتنا آسان ہے الزاموں سے چھلنی کرنا

کتنا آسان ہے دو باتوں سے زخمی کرنا

ایسے حالات سے لڑ کر جسے کچھ بننا ہے

پورے کرنے ہیں کئی خواب تمنا ہے کچھ

اس کے پیروں کی یہ زنجیر ہٹانی ہوگی

نسل حوا کی یہ تصویر مٹانی ہوگی

تم سے روشن ہے ہر اک گھر مگر ایسا کیوں ہے

تم تڑپتی ہو تو یہ جگ مرا ہنستا کیوں ہے

بیری دنیا نے تمہیں ٹھیک سے پرکھا ہی نہیں

میری آنکھوں سے کسی نے تمہیں دیکھا ہی نہیں

عزیر رحمان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Metro Shahr Ki Ek Aam LaDki

Ozair Rahman

kan pak jate hain duniya ki shikayat sun kar
kis ne jaana hai tumhein kis ka yaqin kar lun main
wo jo kahte hain ke tum aam si laDki ho jise
fikr apni hai kisi aur se matlab hi nahin

apni rozana ki routine mein mein jakDi jakDi
wo hi metro ki sawari wo hi aapa-dhapi
til na dharne ki jagah phir bhi pahunchna hai jise
apni har chiz sambhaale hue rahna hai jise

kaun aaya hai pas-o-pesh samajhne ke liye
kaun aaega ye taswir badalne ke liye
kitna aasan hai ilzamon se chhalni karna
kitna aasan hai do baaton se zaKHmi karna

aise haalat se laD kar jise kuchh banna hai
pure karne hain kai KHwab tamanna hai kuchh
us ke pairon ki ye zanjir haTani hogi
nasl-e-hawwa ki ye taswir miTani hogi

tum se raushan hai har ek ghar magar aisa kyun hai
tum taDapti ho to ye jag mera hansta kyun hai
bairi duniya ne tumhein Thik se parkha hi nahin
meri aankhon se kisi ne tumhein dekha hi nahin

(533) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Metro Shahr Ki Ek Aam LaDki written by Ozair Rahman at UrduPoint. Metro Shahr Ki Ek Aam LaDki is one of the masterpieces written by Ozair Rahman. You can also find the complete poetry collection of Ozair Rahman by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ozair Rahman' above.

Metro Shahr Ki Ek Aam LaDki is a widely read Urdu Nazam. If you like Metro Shahr Ki Ek Aam LaDki, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.