Phir Ye Kis Ne Mujhe Jagaya Hai, Urdu Ghazal By Ozair Rahman

Phir Ye Kis Ne Mujhe Jagaya Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ozair Rahman. Phir Ye Kis Ne Mujhe Jagaya Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Phir Ye Kis Ne Mujhe Jagaya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پھر یہ کس نے مجھے جگایا ہے

عزیر رحمان

پھر یہ کس نے مجھے جگایا ہے

پھر سے خوابوں میں کون آیا ہے

پھر سے نم یہ ہوئیں ہیں کیوں آنکھیں

پھر تمہارا خیال آیا ہے

پھر سے روٹھی ہے کیوں یہ شہنائی

پھر سے ماتم کا ماہ آیا ہے

آرزو ہو گئی ہے پھر بے باک

پھر خبر گرم کوئی لایا ہے

پھر نئے سال کی ہے تیاری

جشن پر گولیوں کا سایا ہے

پھر چمن میں رہے گا ہنگامہ

پھر نیا پھول کوئی آیا ہے

پھر سے بادل ہیں آسمانوں میں

ابر امیدیں لے کر آیا ہے

پھر سزا کا ہوا ہے اندیشہ

مجھ کو تنہائی میں بلایا ہے

پھر سے تاریخ بن گیا موضوع

پھر سے قصہ نیا بنایا ہے

پھٹ رہی ہے یہ پھر سے دھرتی کیوں

پھر سے یزداں کا قہر آیا ہے

گھر ہوا ہے خدا کا ویراں پھر

پھر سے آسیب اس پہ چھایا ہے

پھر سے قانون طاق پر رکھا

پھر سے دنگائیوں کو لایا ہے

دیکھو تو غور سے وہی ظالم

پھر سے چہرہ بدل کے آیا ہے

پھر سے چھائی ہے ایک خاموشی

پھر نیا ظلم کوئی ڈھایا ہے

پھر ہے بستی میں ایک بے چینی

پھر نیا فتنہ آزمایا ہے

پھر سے خطرہ کھڑا ہے منہ کھولے

پھر سے اپنا ہوا پرایا ہے

پھر سے مندر میں شنکھ پھونکے ہیں

پھر سے گنبد میں خوف آیا ہے

سازشیں بند ہوں تو دم آئے

پھر لگے دیش لوٹ آیا ہے

عزیر رحمان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Phir Ye Kis Ne Mujhe Jagaya Hai

Ozair Rahman

phir ye kis ne mujhe jagaya hai
phir se KHwabon mein kaun aaya hai

phir se nam ye huin hain kyun aankhen
phir tumhaara KHayal aaya hai

phir se ruThi hai kyun ye shahnai
phir se matam ka mah aaya hai

aarzu ho gai hai phir bebak
phir KHabar garm koi laya hai

phir nae sal ki hai tayyari
jashn par goliyon ka saya hai

phir chaman mein rahega hangama
phir naya phul koi aaya hai

phir se baadal hain aasmanon mein
abr ummiden le kar aaya hai

phir saza ka hua hai andesha
mujh ko tanhai mein bulaya hai

phir se tariKH ban gaya mauzua
phir se qissa naya banaya hai

phaT rahi hai ye phir se dharti kyun
phir se yazdan ka qahr aaya hai

ghar hua hai KHuda ka viran phir
phir se aaseb is pe chhaya hai

phir se qanun taq par rakkha
phir se dangaiyon ko laya hai

dekho to ghaur se wahi zalim
phir se chehra badal ke aaya hai

phir se chhai hai ek KHamoshi
phir naya zulm koi Dhaya hai

phir hai basti mein ek bechaini
phir naya fitna aazmaya hai

phir se KHatra khaDa hai munh khole
phir se apna hua paraya hai

phir se mandir mein shankh phunke hain
phir se gumbad mein KHauf aaya hai

sazishen band hon to dam aae
phir lage desh lauT aaya hai

(559) ووٹ وصول ہوئے

You can read Phir Ye Kis Ne Mujhe Jagaya Hai written by Ozair Rahman at UrduPoint. Phir Ye Kis Ne Mujhe Jagaya Hai is one of the masterpieces written by Ozair Rahman. You can also find the complete poetry collection of Ozair Rahman by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ozair Rahman' above.

Phir Ye Kis Ne Mujhe Jagaya Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Phir Ye Kis Ne Mujhe Jagaya Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.