Ki Main Andhe KHalaon Se Bani Patal Ka Maqsum Thahri, Urdu Nazam By Parveen Tahir

Ki Main Andhe KHalaon Se Bani Patal Ka Maqsum Thahri is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Parveen Tahir. Ki Main Andhe KHalaon Se Bani Patal Ka Maqsum Thahri comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Ki Main Andhe KHalaon Se Bani Patal Ka Maqsum Thahri on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کہ میں اندھے خلاؤں سے بنی پاتال کا مقسوم ٹھہری

پروین طاہر

مگر اے روشنی

اے کائناتی روشنی

ان سورجوں تاروں زمینوں

کہکشاؤں کے لیے دل میں

ترا نور محبت ایک جیسا ہے

مجھے پاتال سے کھینچا

مرا میلا بدن دھویا

الوہی گھیر میں لے کر

مری ان خشک جھیلوں کو

مقدس آنسوؤں سے

پھر شناسا کر دیا

اے روشنی

ان خشک جھیلوں کے کناروں پر

تری ہلکی سی شبنم سے

ترے شیتل جھپاکے میں چھپی

میٹھی حرارت سے

میں سرما کے گلابوں کی

کوئی بے انت کھیتی خود اگا لوں گی

کہ مجھ میں سورجوں کے ظلم سہنے کی

سکت باقی نہیں

پروین طاہر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ki Main Andhe KHalaon Se Bani Patal Ka Maqsum Thahri

Parveen Tahir

magar ai raushni
ai kaenati raushni
in surajon taron zaminon
kahkashaon ke liye dil mein
tera nur-e-mohabbat ek jaisa hai
mujhe patal se khincha
mera maila badan dhoya
uluhi gher mein le kar
meri in KHushk jhilon ko
muqaddas aansuon se
phir shanasa kar diya

ai raushni
in KHushk jhilon ke kinaron par
teri halki si shabnam se
tere shital jhapake mein chhupi
miThi hararat se
main sarma ke gulabon ki
koi be-ant kheti KHud uga lungi
ki mujh mein surajon ke zulm sahne ki
sakat baqi nahin

(569) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ki Main Andhe KHalaon Se Bani Patal Ka Maqsum Thahri written by Parveen Tahir at UrduPoint. Ki Main Andhe KHalaon Se Bani Patal Ka Maqsum Thahri is one of the masterpieces written by Parveen Tahir. You can also find the complete poetry collection of Parveen Tahir by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Parveen Tahir' above.

Ki Main Andhe KHalaon Se Bani Patal Ka Maqsum Thahri is a widely read Urdu Nazam. If you like Ki Main Andhe KHalaon Se Bani Patal Ka Maqsum Thahri, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.