Chashm-e-KHush-ab Ki Tamsil Nahin Ho Sakti, Urdu Ghazal By Parvez Sahir

Chashm-e-KHush-ab Ki Tamsil Nahin Ho Sakti is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Parvez Sahir. Chashm-e-KHush-ab Ki Tamsil Nahin Ho Sakti comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chashm-e-KHush-ab Ki Tamsil Nahin Ho Sakti on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چشم خوش آب کی تمثیل نہیں ہو سکتی

پرویز ساحر

چشم خوش آب کی تمثیل نہیں ہو سکتی

ایسی شفاف کوئی جھیل نہیں ہو سکتی

میری فطرت ہی میں شامل ہے محبت کرنا

اور فطرت کبھی تبدیل نہیں ہو سکتی

اس کے دل میں مجھے اک جوت جگانا پڑے گی

خود ہی روشن کوئی قندیل نہیں ہو سکتی

سکہ داغ و زر غم سے بھرا ہے مرا دل

دیکھ خالی مری زنبیل نہیں ہو سکتی

اس لیے شدت صدمات میں رو دیتا ہوں

مجھ سے جذبات کی تشکیل نہیں ہو سکتی

دکھ تو یہ ہے، وہ مرے دکھ کو سمجھتا ہی نہیں

اس تک احساس کی ترسیل نہیں ہو سکتی

چھوڑ آیا ہوں ترا دفتر دربار نما

اب ترے حکم کی تعمیل نہیں ہو سکتی

اس کثافت کی لطافت سے بھلا کیا نسبت؟

تیرگی نور میں تحلیل نہیں ہو سکتی

لازمی تو نہیں ساحرؔ! وہ مجھے مل جائے

یعنی ہر خواب کی تکمیل نہیں ہو سکتی

پرویز ساحر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chashm-e-KHush-ab Ki Tamsil Nahin Ho Sakti

Parvez Sahir

chashm-e-KHush-ab ki tamsil nahin ho sakti
aisi shaffaf koi jhil nahin ho sakti

meri fitrat hi mein shamil hai mohabbat karna
aur fitrat kabhi tabdil nahin ho sakti

us ke dil mein mujhe ek jot jagana paDegi
KHud hi raushan koi qindil nahin ho sakti

sikka-e-dagh o zar-e-gham se bhara hai mera dil
dekh KHali meri zambil nahin ho sakti

is liye shiddat-e-sadmat mein ro deta hun
mujh se jazbaat ki tashkil nahin ho sakti

dukh to ye hai, wo mere dukh ko samajhta hi nahin
us tak ehsas ki tarsil nahin ho sakti

chhoD aaya hun tera daftar-e-darbar-numa
ab tere hukm ki tamil nahin ho sakti

is kasafat ki latafat se bhala kya nisbat?
tirgi nur mein tahlil nahin ho sakti

lazmi to nahin 'sahir'! wo mujhe mil jae
yani har KHwab ki takmil nahin ho sakti

(596) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chashm-e-KHush-ab Ki Tamsil Nahin Ho Sakti written by Parvez Sahir at UrduPoint. Chashm-e-KHush-ab Ki Tamsil Nahin Ho Sakti is one of the masterpieces written by Parvez Sahir. You can also find the complete poetry collection of Parvez Sahir by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Parvez Sahir' above.

Chashm-e-KHush-ab Ki Tamsil Nahin Ho Sakti is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chashm-e-KHush-ab Ki Tamsil Nahin Ho Sakti, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.