Aae Hain Baada-nosh BaDi Aan-ban Par, Urdu Ghazal By Peer Sher Mohammad Ajiz

Aae Hain Baada-nosh BaDi Aan-ban Par is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Peer Sher Mohammad Ajiz. Aae Hain Baada-nosh BaDi Aan-ban Par comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aae Hain Baada-nosh BaDi Aan-ban Par on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آئے ہیں بادہ نوش بڑی آن بان پر

پیر شیر محمد عاجز

آئے ہیں بادہ نوش بڑی آن بان پر

میلہ لگا ہے پیر مغاں کی دکان پر

ساقی عطا ہو اب مجھے ساغر شراب کا

چھائی ہوئی ہے کیسی گھٹا آسمان پر

روتے ہیں تیرے عشق میں اے رشک ماہ جب

کرتے ہیں لوگ خندہ ہماری فغان پر

پیدا ہوا اثر نہ کبھی میری آہ میں

کھایا نہ اس نے رحم کبھی بے زبان پر

اے کاش یہ نصیب کریں اتنی یاوری

پہنچوں کبھی میں شب کو تمہارے مکان پر

کس شان سے وہ آج گئے ہیں عدو کے گھر

مجھ سے بگڑ کے پہنچے ہیں وہ آسمان پر

اللہ شب فراق میں وہ آہ و زاریاں

ہر وقت صدمے کیسے ہیں مجھ نیم جان پر

لکھا جو خط شوق انہیں میں نے ہجر میں

رونے لگے رقیب بھی میرے بیان پر

یا رب ترے ہی فضل کا امیدوار ہوں

کھاتا نہیں ہے رحم کوئی ناتوان پر

ہر دم ترے فراق میں پھرتا ہوں سو بہ سو

لاکھوں بلائیں آتی ہیں عاجزؔ کی جان پر

پیر شیر محمد عاجز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aae Hain Baada-nosh BaDi Aan-ban Par

Peer Sher Mohammad Ajiz

aae hain baada-nosh baDi aan-ban par
mela laga hai pir-e-mughan ki dukan par

saqi ata ho ab mujhe saghar sharab ka
chhai hui hai kaisi ghaTa aasman par

rote hain tere ishq mein ai rashk-e-mah jab
karte hain log KHanda hamari fughan par

paida hua asar na kabhi meri aah mein
khaya na us ne rahm kabhi be-zaban par

ai kash ye nasib karen itni yawari
pahunchun kabhi main shab ko tumhaare makan par

kis shan se wo aaj gae hain adu ke ghar
mujh se bigaD ke pahunche hain wo aasman par

allah shab-e-firaq mein wo aah-o-zariyan
har waqt sadme kaise hain mujh nim-jaan par

likkha jo KHatt-e-shauq unhen main ne hijr mein
rone lage raqib bhi mere bayan par

yarab tere hi fazl ka umid-war hun
khata nahin hai rahm koi na-tawan par

har-dam tere firaq mein phirta hun su-ba-su
lakhon balaen aati hain 'ajiz' ki jaan par

(513) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aae Hain Baada-nosh BaDi Aan-ban Par written by Peer Sher Mohammad Ajiz at UrduPoint. Aae Hain Baada-nosh BaDi Aan-ban Par is one of the masterpieces written by Peer Sher Mohammad Ajiz. You can also find the complete poetry collection of Peer Sher Mohammad Ajiz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Peer Sher Mohammad Ajiz' above.

Aae Hain Baada-nosh BaDi Aan-ban Par is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aae Hain Baada-nosh BaDi Aan-ban Par, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.