Bahaar Aai Kar Ai Baghban Gulab Qalam, Urdu Ghazal By Peer Sher Mohammad Ajiz

Bahaar Aai Kar Ai Baghban Gulab Qalam is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Peer Sher Mohammad Ajiz. Bahaar Aai Kar Ai Baghban Gulab Qalam comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bahaar Aai Kar Ai Baghban Gulab Qalam on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بہار آئی کر اے باغباں گلاب قلم

پیر شیر محمد عاجز

بہار آئی کر اے باغباں گلاب قلم

کہ لکھے وصف رخ یار کی کتاب قلم

نہ کھینچے چہرۂ پر نور پر نقاب قلم

کرے نہ کاغذ تصویر کو خراب قلم

جو قصد ہو رخ روشن کے وصف لکھنے کا

فلک سے لے ورق ماہ و آفتاب قلم

حکایت دل بیتاب طول رکھتی ہے

نہ کر تو لکھنے میں اتنا بھی اضطراب قلم

بیان‌ زلف چلیپا میں قطعہ لکھ لکھ کر

دکھائے خط شکستہ کا پیچ و تاب قلم

حباب سے بھی بہت کم ہے زیست کا وقفہ

حدیث کشتی مے میں چلے شتاب قلم

لکھے نہ آتش مے کی حکایتیں آگے

جگر نہ بادہ کشوں کے کرے کباب قلم

شبیہ کھینچے گا اک گل کے قد موزوں کی

لکھے گا مصرع‌ شمشاد کا جواب قلم

حکایت شب ہجراں لکھو نہ اے عاجزؔ

ہماری جان حزیں کا نہ ہو عذاب قلم

پیر شیر محمد عاجز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bahaar Aai Kar Ai Baghban Gulab Qalam

Peer Sher Mohammad Ajiz

bahaar aai kar ai baghban gulab qalam
ki likkhe wasf-e-ruKH-e-yar ki kitab qalam

na khinche chehra-e-pur-nur par naqab qalam
kare na kaghaz-e-taswir ko KHarab qalam

jo qasd ho ruKH-e-raushan ke wasf likhne ka
falak se le waraq-e-mah-o-aftab qalam

hikayat-e-dil-e-be-tab tul rakhti hai
na kar tu likhne mein itna bhi iztirab qalam

bayan-e-zulf-e-chalipa mein qita likh likh kar
dikhae KHatt-e-shikasta ka pech-o-tab qalam

hubab se bhi bahut kam hai zist ka waqfa
hadis-e-kashti-e-mai mein chale shitab qalam

likhe na aatish-e-mai ki hikayaten aage
jigar na baada-kashon ke kare kabab qalam

shabih khinga ek gul ke qadd-e-mauzun ki
likhega misra-e-shamshad ka jawab qalam

hikayat-e-shab-e-hijran likho na ai 'ajiz'
hamari jaan-e-hazin ka na ho azab qalam

(369) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bahaar Aai Kar Ai Baghban Gulab Qalam written by Peer Sher Mohammad Ajiz at UrduPoint. Bahaar Aai Kar Ai Baghban Gulab Qalam is one of the masterpieces written by Peer Sher Mohammad Ajiz. You can also find the complete poetry collection of Peer Sher Mohammad Ajiz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Peer Sher Mohammad Ajiz' above.

Bahaar Aai Kar Ai Baghban Gulab Qalam is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bahaar Aai Kar Ai Baghban Gulab Qalam, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.