Ye Raat Teri Zulf-e-moambar To Nahin Hai, Urdu Ghazal By Puran Singh Hunar

Ye Raat Teri Zulf-e-moambar To Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Puran Singh Hunar. Ye Raat Teri Zulf-e-moambar To Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Raat Teri Zulf-e-moambar To Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ رات تری زلف معنبر تو نہیں ہے

پورن سنگھ ہنر

یہ رات تری زلف معنبر تو نہیں ہے

یہ چاند ترا چہرۂ انور تو نہیں ہے

ہر شخص مقدر کا سکندر تو نہیں ہے

ہر اک کو غم عشق میسر تو نہیں ہے

سمجھا ہے جسے سارا جہاں امن کا دشمن

وہ شخص محبت کا پیمبر تو نہیں ہے

کس طرح بنے دامن محبوب کی زینت

آنسو ہے مری آنکھ میں گوہر تو نہیں ہے

لا سکتا ہوں میں چاند ستاروں کو زمیں پر

یہ بھی مرے امکان سے باہر تو نہیں ہے

سورج بھی شفق رنگ ہوا جس کی طلب میں

وہ منظر رنگیں پس منظر تو نہیں ہے

مصلوب مجھے کرکے بھی کیا فکر ہے تجھ کو

چرچا تری بیداد کا گھر گھر تو نہیں ہے

میں دھوپ کی شدت سے سلگتا ہوں سراپا

چڑھتا ہوا سورج مرے سر پر تو نہیں ہے

ہر سنگ سے اصنام تراشے نہیں جاتے

اس راز سے واقف مگر آزر تو نہیں ہے

میں روک رہا ہوں مگر آنسو نہیں رکتے

آنکھوں میں چھپا کوئی سمندر تو نہیں ہے

کیوں اس پہ اثر ہو نہ ترے جور و ستم کا

اس سینے میں دل ہے کوئی پتھر تو نہیں ہے

گو گرد تفکر مرے چہرے پہ ہے لیکن

آئینۂ احساس مکدر تو نہیں ہے

میں جس کو ہنرؔ چاروں طرف ڈھونڈ رہا ہوں

وہ شخص مری ذات کے اندر تو نہیں ہے

پورن سنگھ ہنر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Raat Teri Zulf-e-moambar To Nahin Hai

Puran Singh Hunar

ye raat teri zulf-e-moambar to nahin hai
ye chand tera chehra-e-anwar to nahin hai

har shaKHs muqaddar ka sikandar to nahin hai
har ek ko gham-e-ishq mayassar to nahin hai

samjha hai jise sara jahan amn ka dushman
wo shaKHs mohabbat ka payambar to nahin hai

kis tarah bane daman-e-mahbub ki zinat
aansu hai meri aankh mein gauhar to nahin hai

la sakta hun main chand sitaron ko zamin par
ye bhi mere imkan se bahar to nahin hai

suraj bhi shafaq rang hua jis ki talab mein
wo manzar-e-rangin pas-e-manzar to nahin hai

maslub mujhe karke bhi kya fikr hai tujh ko
charcha teri bedad ka ghar ghar to nahin hai

main dhup ki shiddat se sulagta hun sarapa
chaDhta hua suraj mere sar par to nahin hai

har sang se asnam tarashe nahin jate
is raaz se waqif magar aazar to nahin hai

main rok raha hun magar aansu nahin rukte
aankhon mein chhupa koi samundar to nahin hai

kyon us pe asar ho na tere jaur-o-sitam ka
is sine mein dil hai koi patthar to nahin hai

go gard-e-tafakkur mere chehre pa hai lekin
aaina-e-ehsas mukaddar to nahin hai

main jis ko 'hunar' chaaron taraf DhunD raha hun
wo shaKHs meri zat ke andar to nahin hai

(449) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Raat Teri Zulf-e-moambar To Nahin Hai written by Puran Singh Hunar at UrduPoint. Ye Raat Teri Zulf-e-moambar To Nahin Hai is one of the masterpieces written by Puran Singh Hunar. You can also find the complete poetry collection of Puran Singh Hunar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Puran Singh Hunar' above.

Ye Raat Teri Zulf-e-moambar To Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Raat Teri Zulf-e-moambar To Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.