ChhoD Us Ka Ishq DhunDhun Mah-washan-e-chand Aur, Urdu Ghazal By Qasim Ali Khan Afridi

ChhoD Us Ka Ishq DhunDhun Mah-washan-e-chand Aur is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qasim Ali Khan Afridi. ChhoD Us Ka Ishq DhunDhun Mah-washan-e-chand Aur comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read ChhoD Us Ka Ishq DhunDhun Mah-washan-e-chand Aur on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چھوڑ اس کا عشق ڈھونڈھوں مہوشان چند اور

قاسم علی خان آفریدی

چھوڑ اس کا عشق ڈھونڈھوں مہوشان چند اور

دل اٹھا کر اس ستے باندھوں گا با دل بند اور

تیغ براں سے کوئی کاٹے مجھے ممکن نہیں

ہے ازل سے مجھ کو تیرے ساتھ جو پیوند اور

ہے پیالہ شیر کا لبریز مہ کے ہاتھ میں

اب شکر خندی سے اس میں ڈال دے تو قند اور

دل تسلی تھا یکایک قطع الفت بیں مگر

زخم دل پر پھر نمک چھڑکا بہ شکر خند اور

میں نہیں تنہا کمند زلف میں تیری پھنسا

ہے ہر اک حلقہ میں تیری زلف کے پابند اور

قول پر تیرے نہیں پیماں شکن کچھ اعتبار

ہر گھڑی وعدہ کرے یا کھاوے تو سوگند اور

واے مجھ پر جاؤں کوچے سے ترے کس طور سے

ٹوٹے گر یک بند تیری زلف ڈالے بند اور

ہاتھ اٹھاؤں عشق سے ہرگز یہ ہو سکتا نہیں

ناصحا ہر دم مرا دل چھیل مت با پند اور

پوچھتا ہے آفریدیؔ سے ترا مالک ہے کون

کون ہے تیرے سوا میرے خدا خاوند اور

قاسم علی خان آفریدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

ChhoD Us Ka Ishq DhunDhun Mah-washan-e-chand Aur

Qasim Ali Khan Afridi

chhoD us ka ishq DhunDhun mah-washan-e-chand aur
dil uTha kar us sate bandhunga ba-dil band aur

tegh-e-burran se koi kaTe mujhe mumkin nahin
hai azal se mujh ko tere sath jo paiwand aur

hai piyala shir ka labrez mah ke hath mein
ab shakar-KHandi se us mein Dal de tu qand aur

dil tasalli tha yakayak qata-e-ulfat-been magar
zaKHm-e-dil par phir namak chhiDka ba-shakkar-KHand aur

main nahin tanha kamand-e-zulf mein teri phansa
hai har ek halqa mein teri zulf ke paband aur

qaul par tere nahin paiman-shikan kuchh e'tibar
har ghaDi wada kare ya khawe tu saugand aur

wae mujh par jaun kuche se tere kis taur se
TuTe gar yak band teri zulf Dale band aur

hath uThaun ishq se hargiz ye ho sakta nahin
naseha har-dam mera dil chhil mat ba-pand aur

puchhta hai 'afridi' se tera malik hai kaun
kaun hai tere siwa mere KHuda KHawand aur

(468) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read ChhoD Us Ka Ishq DhunDhun Mah-washan-e-chand Aur written by Qasim Ali Khan Afridi at UrduPoint. ChhoD Us Ka Ishq DhunDhun Mah-washan-e-chand Aur is one of the masterpieces written by Qasim Ali Khan Afridi. You can also find the complete poetry collection of Qasim Ali Khan Afridi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qasim Ali Khan Afridi' above.

ChhoD Us Ka Ishq DhunDhun Mah-washan-e-chand Aur is a widely read Urdu Ghazal. If you like ChhoD Us Ka Ishq DhunDhun Mah-washan-e-chand Aur, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.