Dikhate Hain Ada Kuchh Bhi To Aafat Aa Hi Jati Hai, Urdu Ghazal By Radhe Shiyam Rastogi Ahqar

Dikhate Hain Ada Kuchh Bhi To Aafat Aa Hi Jati Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Radhe Shiyam Rastogi Ahqar. Dikhate Hain Ada Kuchh Bhi To Aafat Aa Hi Jati Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dikhate Hain Ada Kuchh Bhi To Aafat Aa Hi Jati Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دکھاتے ہیں ادا کچھ بھی تو آفت آ ہی جاتی ہے

رادھے شیام رستوگی احقر

دکھاتے ہیں ادا کچھ بھی تو آفت آ ہی جاتی ہے

سنبھل کر لاکھ چلتے ہیں قیامت آ ہی جاتی ہے

محبت میں ہیں صبر و شکر کے ہر چند ہم قائل

مگر کچھ کچھ کبھی لب پر شکایت آ ہی جاتی ہے

جو سچ پوچھو تو ہیں عاشق بھی پیرو نازنینوں کے

بدن میں ناتوانی سے نزاکت آ ہی جاتی ہے

مجاز اک پردۂ ادراک ہے تو چشم بینا کو

کسی صورت نظر شکل حقیقت آ ہی جاتی ہے

نہیں جذب دل عاشق سے ہے معشوق کو چارہ

اگر بے درد بھی ہو تو محبت آ ہی جاتی ہے

بتان سیمتن کے وصل سے ہم فیض پاتے ہیں

وہ آتے ہیں تو اپنے گھر میں دولت آ ہی جاتی ہے

ترے اشعار رنگیں سے بھلا فرحت نہ ہو احقرؔ

کہ ان پھولوں سے خوشبوئے فصاحت آ ہی جاتی ہے

رادھے شیام رستوگی احقر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dikhate Hain Ada Kuchh Bhi To Aafat Aa Hi Jati Hai

Radhe Shiyam Rastogi Ahqar

dikhate hain ada kuchh bhi to aafat aa hi jati hai
sambhal kar lakh chalte hain qayamat aa hi jati hai

mohabbat mein hain sabr-o-shukr ke har-chand hum qail
magar kuchh kuchh kabhi lab par shikayat aa hi jati hai

jo sach puchho to hain aashiq bhi pairaw nazninon ke
badan mein na-tawani se nazakat aa hi jati hai

majaz ek parda-e-idrak hai to chashm-e-bina ko
kisi surat nazar shakl-e-haqiqat aa hi jati hai

nahin jazb-e-dil-e-ashiq se hai mashuq ko chaara
agar bedard bhi ho to mohabbat aa hi jati hai

butan-e-sim-tan ke wasl se hum faiz pate hain
wo aate hain to apne ghar mein daulat aa hi jati hai

tere ashaar-e-rangin se bhala farhat na ho 'ahqar'
ki in phulon se KHushbu-e-fasahat aa hi jati hai

(391) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dikhate Hain Ada Kuchh Bhi To Aafat Aa Hi Jati Hai written by Radhe Shiyam Rastogi Ahqar at UrduPoint. Dikhate Hain Ada Kuchh Bhi To Aafat Aa Hi Jati Hai is one of the masterpieces written by Radhe Shiyam Rastogi Ahqar. You can also find the complete poetry collection of Radhe Shiyam Rastogi Ahqar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Radhe Shiyam Rastogi Ahqar' above.

Dikhate Hain Ada Kuchh Bhi To Aafat Aa Hi Jati Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dikhate Hain Ada Kuchh Bhi To Aafat Aa Hi Jati Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.