Nannhi-munni Qawwali, Urdu Nazam By Rais Farogh

Nannhi-munni Qawwali is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Rais Farogh. Nannhi-munni Qawwali comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Nannhi-munni Qawwali on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ننھی منی قوالی

رئیس فروغ

ان کی بھی سنیں ان کی بھی سنیں چھوٹے جو ہوئے

سنتے ہی رہیں کچھ بھی نہ کہیں چھوٹے جو ہوئے

ہم پر کھلی ہوئی تو سبھی کی زبان ہے

یہ مہربان ہے کبھی وہ مہربان ہے

آئے کسی سے خوف کسی کا ادب کریں

اپنی تو ہر طرح سے مصیبت میں جان ہے

ددھیال میں پھوپی ہیں

ننھیال میں خالہ ہیں

یہ ان سے بھی بڑھ کر ہیں

وہ ان سے بھی اعلیٰ ہیں

یہ چیز لاؤ

وہ چیز لاؤ

بازار دن میں سو بار جاؤ

کیا رات ہوتے

کیا منہ اندھیرے

شام اور سویرے

پھیروں پہ پھیرے

بیمار جو ہو جاؤ

سسٹر کا کہا مانو

اسکول میں جب تک ہو

ٹیچر کا کہا مانو

گھر میں جو رہو بھیا

گھر بھر کا کہا مانو

ستایا اپنے چھوٹوں کو اگر ہم نے بڑے ہو کر

تو پھر وہ بھی کہیں گے گھر کے آنگن میں کھڑے ہو کر

ان کی بھی سنیں ان کی بھی سنیں چھوٹے جو ہوئے

رئیس فروغ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nannhi-munni Qawwali

Rais Farogh

in ki bhi sunen un ki bhi sunen chhoTe jo hue
sunte hi rahen kuchh bhi na kahen chhoTe jo hue
hum par khuli hui to sabhi ki zaban hai
ye mehrban hai kabhi wo mehrban hai
aae kisi se KHauf kisi ka adab karen
apni to har tarah se musibat mein jaan hai

dadhiyal mein phupi hain
nanihaal mein KHala hain
ye un se bhi baDh kar hain
wo in se bhi aala hain
ye chiz lao
wo chiz lao
bazar din mein sau bar jao
kya raat hote
kya munh andhere
sham aur sawere
pheron pe phere
bimar jo ho jao
sister ka kaha mano
school mein jab tak ho
teacher ka kaha mano
ghar mein jo raho bhayya
ghar bhar ka kaha mano
sataya apne chhoTon ko agar hum ne baDe ho kar
to phir wo bhi kahenge ghar ke aangan mein khaDe ho kar
in ki bhi sunen un ki bhi sunen chhoTe jo hue

(500) ووٹ وصول ہوئے

You can read Nannhi-munni Qawwali written by Rais Farogh at UrduPoint. Nannhi-munni Qawwali is one of the masterpieces written by Rais Farogh. You can also find the complete poetry collection of Rais Farogh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rais Farogh' above.

Nannhi-munni Qawwali is a widely read Urdu Nazam. If you like Nannhi-munni Qawwali, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.