Rahi Na Yaro AaKHir Sakat Hawaon Mein, Urdu Ghazal By Rajinder Manchanda Bani

Rahi Na Yaro AaKHir Sakat Hawaon Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rajinder Manchanda Bani. Rahi Na Yaro AaKHir Sakat Hawaon Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Rahi Na Yaro AaKHir Sakat Hawaon Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رہی نہ یارو آخر سکت ہواؤں میں

راجیندر منچندا بانی

رہی نہ یارو آخر سکت ہواؤں میں

چار دیے روشن ہیں چار دشاؤں میں

کائی جمی تھی سینے میں جانے کب سے

چیخ اٹھا وہ آ کر کھلی فضاؤں میں

اپنی گم آوازیں آؤ تلاش کریں

سبز پرندوں کی سیال صداؤں میں

میں بھی کرید رہا تھا خاک کی پرتوں کو

وہ بھی جھانک رہا تھا دور خلاؤں میں

ٹھنڈی چھاؤں دیکھ کے وہ آ بیٹھا تھا

الجھ گیا برگد کی گھنی جٹاؤں میں

گھاٹ گھاٹ کوشش کی پار اترنے کی

لہر کوئی دشمن تھی سب دریاؤں میں

وہ سر سبز زمینوں تک ہم سفر رہا

اڑ نہ سکا پھر میرے ساتھ ہواؤں میں

پانی ذرا برسنے دے منظر پھر دیکھ

رنگ چھپے ہیں سب ان سیہ گھٹاؤں میں

آ میں تیرے من میں جھانکوں اور بتاؤں

کیوں تاثیر نہیں ہے تری دعاؤں میں

سب آپس میں لڑ کر بستی چھوڑ گئے

خوش خوش جا آباد ہوئے صحراؤں میں

ایک طلب نے بانیؔ بہت خراب کیا

آخر ہم بھی ہوئے شمار گداؤں میں

راجیندر منچندا بانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Rahi Na Yaro AaKHir Sakat Hawaon Mein

Rajinder Manchanda Bani

rahi na yaro aaKHir sakat hawaon mein
chaar diye raushan hain chaar dishaon mein

kai jami thi sine mein jaane kab se
chiKH uTha wo aa kar khuli fazaon mein

apni gum aawazen aao talash karen
sabz parindon ki sayyal sadaon mein

main bhi kured raha tha KHak ki parton ko
wo bhi jhank raha tha dur KHalaon mein

ThanDi chhanw dekh ke wo aa baiTha tha
ulajh gaya bargad ki ghani jaTaon mein

ghaT ghaT koshish ki par utarne ki
lahr koi dushman thi sab dariyaon mein

wo sarsabz zaminon tak ham-safar raha
uD na saka phir mere sath hawaon mein

pani zara barasne de manzar phir dekh
rang chhupe hain sab in siyah ghaTaon mein

aa main tere man mein jhankun aur bataun
kyun tasir nahin hai teri duaon mein

sab aapas mein laD kar basti chhoD gae
KHush KHush ja aabaad hue sahraon mein

ek talab ne 'bani' bahut KHarab kiya
aaKHir hum bhi hue shumar gadaon mein

(355) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Rahi Na Yaro AaKHir Sakat Hawaon Mein written by Rajinder Manchanda Bani at UrduPoint. Rahi Na Yaro AaKHir Sakat Hawaon Mein is one of the masterpieces written by Rajinder Manchanda Bani. You can also find the complete poetry collection of Rajinder Manchanda Bani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rajinder Manchanda Bani' above.

Rahi Na Yaro AaKHir Sakat Hawaon Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Rahi Na Yaro AaKHir Sakat Hawaon Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.