Charagh Bujhne Lage Aur Chhai Tariki, Urdu Ghazal By Rakib Mukhtar

Charagh Bujhne Lage Aur Chhai Tariki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rakib Mukhtar. Charagh Bujhne Lage Aur Chhai Tariki comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Charagh Bujhne Lage Aur Chhai Tariki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چراغ بجھنے لگے اور چھائی تاریکی

راکب مختار

چراغ بجھنے لگے اور چھائی تاریکی

چکا رہا تھا میں قیمت ہوا سے یاری کی

تو سوچ بھی نہیں سکتا جس اہتمام کے ساتھ

کٹے شجر پہ پرندوں نے آہ و زاری کی

وہ جس کا عشق مرا جزو روح بن گیا تھا

اسی نے مجھ سے محبت بھی اختیاری کی

تمہارا وجد میں آنا فقط دکھاوا تھا

وہ کیفیت ہی نہیں تھی جو خود پہ طاری کی

تمہارے شہر کی حرمت کا پاس رکھتے ہوئے

عدو کوئی نہ بنایا سبھی سے یاری کی

جہاں خدا کی اذاں ہو رہی ہو گیت کی نذر

سنے گا کون وہاں پر صدا بھکاری کی

راکب مختار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Charagh Bujhne Lage Aur Chhai Tariki

Rakib Mukhtar

charagh bujhne lage aur chhai tariki
chuka raha tha main qimat hawa se yari ki

tu soch bhi nahin sakta jis ehtimam ke sath
kaTe shajar pe parindon ne aah-o-zari ki

wo jis ka ishq mera juzw-e-ruh ban gaya tha
usi ne mujh se mohabbat bhi iKHtiyari ki

tumhaara wajd mein aana faqat dikhawa tha
wo kaifiyat hi nahin thi jo KHud pe tari ki

tumhaare shahr ki hurmat ka pas rakhte hue
adu koi na banaya sabhi se yari ki

jahan KHuda ki azan ho rahi ho git ki nazr
sunega kaun wahan par sada bhikari ki

(1183) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Charagh Bujhne Lage Aur Chhai Tariki written by Rakib Mukhtar at UrduPoint. Charagh Bujhne Lage Aur Chhai Tariki is one of the masterpieces written by Rakib Mukhtar. You can also find the complete poetry collection of Rakib Mukhtar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rakib Mukhtar' above.

Charagh Bujhne Lage Aur Chhai Tariki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Charagh Bujhne Lage Aur Chhai Tariki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.