Aankhon Ke Shahr Mein, Urdu Nazam By Raoof Anjum

Aankhon Ke Shahr Mein is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Raoof Anjum. Aankhon Ke Shahr Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Aankhon Ke Shahr Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آنکھوں کے شہر میں

رؤف انجم

پھولوں سے لدی شاخوں کے تلے

مہتاب کی شیتل کرنوں میں

جھیلوں کے کنارے جھرنوں کے نزدیک سہانی وادی میں

رستے پہ کبھی کالونی میں

گلشن گلشن صحرا صحرا

ساحل ساحل دریا دریا

تیرے میرے قدموں کے نشاں اب کہاں کہاں تک پھیل گئے

ملتے ہیں مگر ایسے بھی نہیں جیسا ہمیں لوگ سمجھتے ہیں

ہر آنکھ تعاقب میں ہے اب

ہر سایہ پیچھا کرتا ہے

ہر چہرے سے جی ڈرتا ہے

مشکوک نگاہوں کے کتنے سیلاب ہمارے پیچھے ہیں

دشمن کے روپ میں اب کتنے احباب ہمارے پیچھے ہیں

آنکھوں کے شہر میں رہ کر ہم

اپنے چہروں کی تحریریں لوگوں سے چھپاتے بھی کیسے

پتھر کی بستی میں دل کے شیشے کو بچاتے بھی کیسے

رؤف انجم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aankhon Ke Shahr Mein

Raoof Anjum

phulon se ladi shaKHon ke tale
mahtab ki shital kirnon mein
jhilon ke kinare jharnon ke nazdik suhani wadi mein
raste pe kabhi colony mein
gulshan gulshan sahra sahra
sahil sahil dariya dariya
tere mere qadmon ke nishan ab kahan kahan tak phail gae
milte hain magar aise bhi nahin jaisa hamein log samajhte hain
har aankh taaqub mein hai ab
har saya pichha karta hai
har chehre se ji Darta hai
mashkuk nigahon ke kitne sailab hamare pichhe hain
dushman ke rup mein ab kitne ahbab hamare pichhe hain
aankhon ke shahr mein rah kar hum
apne chehron ki tahriren logon se chhupate bhi kaise
patthar ki basti mein dil ke shishe ko bachate bhi kaise

(510) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aankhon Ke Shahr Mein written by Raoof Anjum at UrduPoint. Aankhon Ke Shahr Mein is one of the masterpieces written by Raoof Anjum. You can also find the complete poetry collection of Raoof Anjum by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raoof Anjum' above.

Aankhon Ke Shahr Mein is a widely read Urdu Nazam. If you like Aankhon Ke Shahr Mein, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.