Naqab-e-shab Mein Chhup Kar Kis Ki Yaad Aai Samajhte Hain, Urdu Ghazal By Ravish Siddiqi

Naqab-e-shab Mein Chhup Kar Kis Ki Yaad Aai Samajhte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ravish Siddiqi. Naqab-e-shab Mein Chhup Kar Kis Ki Yaad Aai Samajhte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Naqab-e-shab Mein Chhup Kar Kis Ki Yaad Aai Samajhte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نقاب شب میں چھپ کر کس کی یاد آئی سمجھتے ہیں

روش صدیقی

نقاب شب میں چھپ کر کس کی یاد آئی سمجھتے ہیں

اشارے ہم ترے اے شمع تنہائی سمجھتے ہیں

نہ سمجھیں بات واعظ کی ہم اتنے بھی نہیں ناداں

کہاں تک ہے بساط عقل و دانائی سمجھتے ہیں

توجہ پھر توجہ ہے مگر ہم تیرے دیوانے

تغافل کو بھی اک انداز رعنائی سمجھتے ہیں

ہمیں نا آشنا سمجھو نہ رسم و راہ منزل سے

کہاں لے جا رہا ہے ذوق رسوائی سمجھتے ہیں

ہم ایسے سرپھروں کو کام کیا ہے مرگ و ہستی سے

یہ سب ہے شوخئ ناز مسیحائی سمجھتے ہیں

ہم اے خلوت نشیں آخر میں تیرے دیکھنے والے

یہ کیوں ہے اہتمام محفل آرائی سمجھتے ہیں

ردائے پاکی و تقویٰ کی عظمت میں تو کیا شک ہے

روشؔ ہم تو غبار کوئے رسوائی سمجھتے ہیں

روش صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Naqab-e-shab Mein Chhup Kar Kis Ki Yaad Aai Samajhte Hain

Ravish Siddiqi

naqab-e-shab mein chhup kar kis ki yaad aai samajhte hain
ishaare hum tere ai sham-e-tanhai samajhte hain

na samjhen baat waiz ki hum itne bhi nahin nadan
kahan tak hai bisat-e-aql-o-danai samajhte hain

tawajjoh phir tawajjoh hai magar hum tere diwane
taghaful ko bhi ek andaz-e-ranani samajhte hain

hamein na-ashna samjho na rasm-o-rah-e-manzil se
kahan le ja raha hai zauq-e-ruswai samajhte hain

hum aise sar-phiron ko kaam kya hai marg o hasti se
ye sab hai shoKHi-e-naz-e-masihai samajhte hain

hum ai KHalwat-nashin aaKHir mein tere dekhne wale
ye kyun hai ehtimam-e-mahfil-arai samajhte hain

rida-e-paki-o-taqwa ki azmat mein to kya shak hai
'rawish' hum to ghubar-e-ku-e-ruswai samajhte hain

(491) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Naqab-e-shab Mein Chhup Kar Kis Ki Yaad Aai Samajhte Hain written by Ravish Siddiqi at UrduPoint. Naqab-e-shab Mein Chhup Kar Kis Ki Yaad Aai Samajhte Hain is one of the masterpieces written by Ravish Siddiqi. You can also find the complete poetry collection of Ravish Siddiqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ravish Siddiqi' above.

Naqab-e-shab Mein Chhup Kar Kis Ki Yaad Aai Samajhte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Naqab-e-shab Mein Chhup Kar Kis Ki Yaad Aai Samajhte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.