Main Hi Nahin Hun Barham Us Zulf-e-kaj-ada Se, Urdu Ghazal By Raza Azimabadi

Main Hi Nahin Hun Barham Us Zulf-e-kaj-ada Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Raza Azimabadi. Main Hi Nahin Hun Barham Us Zulf-e-kaj-ada Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Hi Nahin Hun Barham Us Zulf-e-kaj-ada Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں ہی نہیں ہوں برہم اس زلف کج ادا سے

رضا عظیم آبادی

میں ہی نہیں ہوں برہم اس زلف کج ادا سے

ٹک منہ ترا جو پائیں الجھیں ابھی ہوا سے

تم نے نکالنے میں کچھ کم نہ کیں جفائیں

اب تک جو تھم رہے ہیں ہم اپنی ہی وفا سے

پہلی نگہ میں دل پر برچھی سی لگ گئی ہے

پہنچے تھے انتہا کو ہم اس کی ابتدا سے

رکھنا قدم زمیں پر ٹک دیکھ کر پیارے

دل راہ میں پڑے ہیں لاکھوں کے نقش پا سے

جا اے طبیب یاں سے اتنا نہیں سمجھتا

بیماریٔ محبت کس کی گئی دوا سے

میں عاشق بلا ہوں کرتا ہوں اس کو سجدہ

خاک قدم کو اس کی جو آؤ کربلا سے

مشہور تھی بزرگی ان کی سبھوں سے لیکن

اپنے تئیں تعارف چنداں نہ تھا ضیا سے

اکثر گلی سے اس کی دیکھا تھا میں نے جاتے

ہو گئے تھے اس سبب سے کچھ صورت آشنا سے

کل ان کو میں نے دیکھا سر ننگے پا برہنہ

جامہ جو ہے گلی میں سو ٹکڑے جا بہ جا سے

در پردہ یوں میں ان سے پوچھا کہ قبلۂ من

کیوں آج اس قدر ہیں آزردہ و خفا سے

محجوب سے وہ ہو کر کہنے لگے نہ پوچھو

مر جائیں یا الٰہی چھوٹیں کہیں بلا سے

یہ طرفہ ماجرا ہے اک جا پہ دل دیا ہے

پر قہر ہیں وہاں کے لونڈے ذرا ذرا سے

اتنی سی عمر میں یہ عیاریاں ہیں کرتے

لیتے ہیں دل کو پہلے دے دے بہت دلاسے

جب دیکھتے ہیں آیا اب اختیار میں دل

جو دیکھیو تو پھر پیش آتے ہیں اس ادا سے

میں نے کہا کہ حضرت آپ اپنی طرف دیکھیں

جو ان بتوں سے ہوگا سو ہوگا وہ خدا سے

بے اختیار ہو کر بولے کہ سچ ہے صاحب

واقف نہیں ہوئے ہو عشق ہوس فزا سے

دریا کے رہنے والے کیا جانیں اس اثر کو

پانی کی قدر پوچھو ان سے جو ہیں پیاسے

رضا عظیم آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Hi Nahin Hun Barham Us Zulf-e-kaj-ada Se

Raza Azimabadi

main hi nahin hun barham us zulf-e-kaj-ada se
Tuk munh tera jo paen uljhen abhi hawa se

tum ne nikalne mein kuchh kam na kin jafaen
ab tak jo tham rahe hain hum apni hi wafa se

pahli nigah mein dil par barchhi si lag gai hai
pahunche the intiha ko hum us ki ibtida se

rakhna qadam zamin par Tuk dekh kar pyare
dil rah mein paDe hain lakhon ke naqsh-e-pa se

ja ai tabib yan se itna nahin samajhta
bimari-e-mohabbat kis ki gai dawa se

main aashiq-e-bala hun karta hun us ko sajda
KHak-e-qadam ko us ki jo aao karbala se

mashhur thi buzurgi un ki sabhon se lekin
apne tain taaruf chandan na tha ziya se

aksar gali se us ki dekha tha main ne jate
ho gae the is sabab se kuchh surat-ashna se

kal un ko main ne dekha sar nange pa-barahna
jama jo hai gali mein sau TukDe ja-ba-ja se

dar-parda yun main un se puchha ki qibla-e-man
kyun aaj is qadar hain aazurda-o-KHafa se

mahjub se wo ho kar kahne lage na puchho
mar jaen ya ilahi chhuTen kahin bala se

ye turfa majra hai ek ja pe dil diya hai
par qahr hain wahan ke launDe zara zara se

itni si umr mein ye ayyariyan hain karte
lete hain dil ko pahle de de bahut dilase

jab dekhte hain aaya ab iKHtiyar mein dil
jo dekhiyo to phir pesh aate hain is ada se

main ne kaha ki hazrat aap apni tarf dekhen
jo in buton se hoga so hoga wo KHuda se

be-iKHtiyar ho kar bole ki sach hai sahab
waqif nahin hue ho ishq-e-hawas-faza se

dariya ke rahne wale kya jaanen is asar ko
pani ki qadr puchho un se jo hain piyase

(344) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Hi Nahin Hun Barham Us Zulf-e-kaj-ada Se written by Raza Azimabadi at UrduPoint. Main Hi Nahin Hun Barham Us Zulf-e-kaj-ada Se is one of the masterpieces written by Raza Azimabadi. You can also find the complete poetry collection of Raza Azimabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raza Azimabadi' above.

Main Hi Nahin Hun Barham Us Zulf-e-kaj-ada Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Hi Nahin Hun Barham Us Zulf-e-kaj-ada Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.