Asar Paida Kar, Urdu Nazam By Razi Badayuni

Asar Paida Kar is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Razi Badayuni. Asar Paida Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Asar Paida Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اثر پیدا کر

رضی بدایونی

جبر کا دور ہے آہوں میں اثر پیدا کر

ظلمت شب سے ہی آثار سحر پیدا کر

جور مغرب سے نہ انداز حذر پیدا کر

تخت باطل جو الٹ دیں وہ بشر پیدا کر

غیر کو اپنا بنا لے وہ نظر پیدا کر

سنگ ریزوں سے گہر پاش گہر پیدا کر

اک نظر دیکھ کے تو بھانپ لے مقصد دل کا

چشم بینا میں تفکر کا اثر پیدا کر

اپنی دنیا تجھے دنیا سے بنانی ہے الگ

آسماں تارے زمیں شمس و قمر پیدا کر

ہے ترا خواب گراں دورئ منزل کا سبب

خضر ہمدرد ہے اٹھ عزم سفر پیدا کر

کیوں زمانے کے خم و پیچ میں الجھا ہے تو

دل میں احساس تباہی و ضرر پیدا کر

غم شمشیر ہے کیا دست تہی اٹھ ناداں

تو بہادر ہے تو بے تیغ ظفر پیدا کر

آرزو جس کی تجھے ہے وہ نہاں ہے تجھ میں

دیکھنا ہو تو صداقت کی نظر پیدا کر

قوتیں ارض و سما کی ہیں تری فطرت میں

شاخ امید پہ مقصد کا ثمر پیدا کر

اپنے ایثار کا لے سنگ دلوں سے بدلہ

بات تو جب ہے کہ پتھر سے گہر پیدا کر

کیوں ہے مایوسیٔ پیہم سے ترا دل مایوس

بے خبر اپنی دعاؤں میں اثر پیدا کر

قید خورشید فلک تاب کی کرنیں کر لے

مستقل اپنی شب غم میں سحر پیدا کر

جنس الفت کی جو درکار خریداری ہے

میٹھا میٹھا سا ذرا درد جگر پیدا کر

عزم راسخ ہو اولو العزم ہو پہلے غافل

پھر اگر چاہے تو پتھر سے شرر پیدا کر

ہے تصرف میں ترے دہر کی ہر چیز رضیؔ

اٹھ اور اٹھ کر انہیں ذروں سے قمر پیدا کر

رضی بدایونی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Asar Paida Kar

Razi Badayuni

jabr ka daur hai aahon mein asar paida kar
zulmat-e-shab se hi aasar-e-sahar paida kar
jaur-e-maghrib se na andaz-e-hazar paida kar
taKHt-e-baatil jo ulaT den wo bashar paida kar
ghair ko apna bana le wo nazar paida kar
sang-rezon se guhar-pash guhar paida kar
ek nazar dekh ke tu bhanp le maqsad dil ka
chashm-e-bina mein tafakkur ka asar paida kar
apni duniya tujhe duniya se banani hai alag
aasman tare zamin shams-o-qamar paida kar
hai tera KHwab-e-giran duri-e-manzil ka sabab
KHizr hamdard hai uTh azm-e-safar paida kar
kyon zamane ke KHam-o-pech mein uljha hai tu
dil mein ehsas-e-tabahi-o-zarar paida kar
gham-e-shamshir hai kya dast-tahi uTh nadan
tu bahadur hai to be tegh zafar paida kar
aarzu jis ki tujhe hai wo nihan hai tujh mein
dekhna ho to sadaqat ki nazar paida kar
quwwaten arz-o-sama ki hain teri fitrat mein
shaKH-e-ummid pe maqsad ka samar paida kar
apne isar ka le sang-dilon se badla
baat to jab hai ki patthar se guhar paida kar
kyon hai mayusi-e-paiham se tera dil mayus
be-KHabar apni duaon mein asar paida kar
qaid KHurshid-e-falak-tab ki kirnen kar le
mustaqil apni shab-e-gham mein sahar paida kar
jins-e-ulfat ki jo darkar KHaridari hai
miTha miTha sa zara dard-e-jigar paida kar
azm-e-rasiKH ho ulul-azm ho pahle ghafil
phir agar chahe to patthar se sharar paida kar
hai tasarruf mein tere dahr ki har chiz 'razi'
uTh aur uTh kar inhin zarron se qamar paida kar

(503) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Asar Paida Kar written by Razi Badayuni at UrduPoint. Asar Paida Kar is one of the masterpieces written by Razi Badayuni. You can also find the complete poetry collection of Razi Badayuni by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Razi Badayuni' above.

Asar Paida Kar is a widely read Urdu Nazam. If you like Asar Paida Kar, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.