Dil Shagufta Hai Ke Phir Koi KHata Hone Ko Hai, Urdu Ghazal By Rinki Singh Sahiba

Dil Shagufta Hai Ke Phir Koi KHata Hone Ko Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rinki Singh Sahiba. Dil Shagufta Hai Ke Phir Koi KHata Hone Ko Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Shagufta Hai Ke Phir Koi KHata Hone Ko Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل شگفتہ ہے کے پھر کوئی خطا ہونے کو ہے

رنکی سنگھ صاحبہ

دل شگفتہ ہے کے پھر کوئی خطا ہونے کو ہے

جیسے اگلے ہی قدم پر حادثہ ہونے کو ہے

جانے کیا کیا ہو گیا ہے ہو رہا ہے جانے کیا

آنے والے وقت میں اب جانے کیا ہونے کو ہے

وہ گیا تو لوٹ کر سانسیں نہ آئیں جسم میں

یوں لگا کہ زندگی سے فاصلہ ہونے کو ہے

ڈال دی کشتی بھنور میں بس اسی امید پر

ایک تنکے کا مجھے بھی آسرا ہونے کو ہے

جھک گیا ہے آسماں اڑنے لگی ہے یہ زمیں

لگ رہا ساون میں اب کے کچھ نیا ہونے کو ہے

جس نے میرے پاؤں کو زخمی کیا تھا ایک دن

راستے کا اب وہ پتھر دیوتا ہونے کو ہے

پھر سہانی وادیوں سے عشق نے دی ہے صدا

لگ رہا ہے رتجگوں کا سلسلہ ہونے کو ہے

زندگی کی الجھنیں کاغذ پے لکھی تھیں کبھی

آ رہی ہے یہ خبر وہ فلسفہ ہونے کو ہے

مل گیا وہ اک گہر جو اپنے من کی سیپ میں

ایسا لگتا ہے کہ خود سے رابطہ ہونے کو ہے

چھو لیا آکاش نے جھک کر زمیں کے جسم کو

مختصر سا ایک پل عہد وفا ہونے کو ہے

ہم تو ایسی فکر سے اب ہو چکے ہیں بے نیاز

ہونے دو جو صاحبہؔ اچھا برا ہونے کو ہے

رنکی سنگھ صاحبہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Shagufta Hai Ke Phir Koi KHata Hone Ko Hai

Rinki Singh Sahiba

dil shagufta hai ke phir koi KHata hone ko hai
jaise agle hi qadam par hadisa hone ko hai

jaane kya kya ho gaya hai ho raha hai jaane kya
aane wale waqt mein ab jaane kya hone ko hai

wo gaya to lauT kar sansen na aain jism mein
yun laga ki zindagi se fasla hone ko hai

Dal di kashti bhanwar mein bas isi ummid par
ek tinke ka mujhe bhi aasra hone ko hai

jhuk gaya hai aasman uDne lagi hai ye zamin
lag raha sawan mein ab ke kuchh naya hone ko hai

jis ne mere panw ko zaKHmi kiya tha ek din
raste ka ab wo patthar dewta hone ko hai

phir suhani wadiyon se ishq ne di hai sada
lag raha hai ratjagon ka silsila hone ko hai

zindagi ki uljhanen kaghaz pe likkhi thin kabhi
aa rahi hai ye KHabar wo falsafa hone ko hai

mil gaya wo ek guhar jo apne man ki sip mein
aisa lagta hai ki KHud se rabta hone ko hai

chhu liya aakash ne jhuk kar zamin ke jism ko
muKHtasar sa ek pal ahd-e-wafa hone ko hai

hum to aisi fikr se ab ho chuke hain be-niyaz
hone do jo 'sahiba' achchha bura hone ko hai

(463) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Shagufta Hai Ke Phir Koi KHata Hone Ko Hai written by Rinki Singh Sahiba at UrduPoint. Dil Shagufta Hai Ke Phir Koi KHata Hone Ko Hai is one of the masterpieces written by Rinki Singh Sahiba. You can also find the complete poetry collection of Rinki Singh Sahiba by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rinki Singh Sahiba' above.

Dil Shagufta Hai Ke Phir Koi KHata Hone Ko Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Shagufta Hai Ke Phir Koi KHata Hone Ko Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.