Aish-o-ishrat Sab Sahi Ye Dam Nahin To Kuchh Nahin, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Aish-o-ishrat Sab Sahi Ye Dam Nahin To Kuchh Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Aish-o-ishrat Sab Sahi Ye Dam Nahin To Kuchh Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aish-o-ishrat Sab Sahi Ye Dam Nahin To Kuchh Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عیش و عشرت سب سہی یہ دم نہیں تو کچھ نہیں

ریاضؔ خیرآبادی

عیش و عشرت سب سہی یہ دم نہیں تو کچھ نہیں

ایک دنیا ہو تو کیا جب ہم نہیں تو کچھ نہیں

سرمگیں آنکھوں میں اشک غم نہیں تو کچھ نہیں

دست رنگیں سے مرا ماتم نہیں تو کچھ نہیں

صبح کو شب کے ستانے کا گلہ شکوہ عبث

جب پریشاں گیسوئے برہم نہیں تو کچھ نہیں

عشق سے تھوڑا بہت تو ہے ہر انساں کو لگاؤ

دل میں کچھ کچھ درد کچھ کچھ غم نہیں تو کچھ نہیں

اس کمر پر اس نزاکت پر یہ سیدھی چال کیوں

بل نہیں تو کچھ نہیں کچھ خم نہیں تو کچھ نہیں

اس کی شوخی نے اسے اے دل چھپا رکھا کہاں

حشر میں وہ فتنۂ عالم نہیں تو کچھ نہیں

ملنے والوں کا بہم مل بیٹھنا بھی لطف ہے

جمگھٹے شب کو سر زمزم نہیں تو کچھ نہیں

اس کی رونق اور ہے اس کا اثر کچھ اور ہے

ان کی محفل میں مرا ماتم نہیں تو کچھ نہیں

پیارے پیارے اچھے اچھے منہ سے ہاں کہہ دے کبھی

تیرے صدقے یہ تری ہر دم نہیں تو کچھ نہیں

بال کھولے تم نے تو کیا چوڑیاں توڑیں تو کیا

میرے مرنے کا جو دل سے غم نہیں تو کچھ نہیں

بات جس کی تھی گئی ساقی وہ اس کے دم کے ساتھ

جام جم ہو بھی تو کیا جب ہم نہیں تو کچھ نہیں

پھوٹ کر رونا نہیں تو پھوٹ ہی جائیں ریاضؔ

کام کے جب دیدۂ پر نم نہیں تو کچھ نہیں

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aish-o-ishrat Sab Sahi Ye Dam Nahin To Kuchh Nahin

Riyaz Khairabadi

aish-o-ishrat sab sahi ye dam nahin to kuchh nahin
ek duniya ho to kya jab hum nahin to kuchh nahin

surmagin aankhon mein ashk-e-gham nahin to kuchh nahin
dast-e-rangin se mera matam nahin to kuchh nahin

subh ko shab ke satane ka gila-shikwa abas
jab pareshan gesu-e-barham nahin to kuchh nahin

ishq se thoDa bahut to hai har insan ko lagao
dil mein kuchh kuchh dard kuchh kuchh gham nahin to kuchh nahin

is kamar par is nazakat par ye sidhi chaal kyun
bal nahin to kuchh nahin kuchh KHam nahin to kuchh nahin

us ki shoKHi ne use ai dil chhupa rakkha kahan
hashr mein wo fitna-e-alam nahin to kuchh nahin

milne walon ka baham mil baiThna bhi lutf hai
jamghaTe shab ko sar-e-zamzam nahin to kuchh nahin

us ki raunaq aur hai us ka asar kuchh aur hai
un ki mahfil mein mera matam nahin to kuchh nahin

pyare pyare achchhe achchhe munh se han kah de kabhi
tere sadqe ye teri har-dam nahin to kuchh nahin

baal khole tum ne to kya chuDiyan toDin to kya
mere marne ka jo dil se gham nahin to kuchh nahin

baat jis ki thi gai saqi wo us ke dam ke sath
jam-e-jam ho bhi to kya jab hum nahin to kuchh nahin

phuT kar rona nahin to phuT hi jaen 'riyaz'
kaam ke jab dida-e-pur-nam nahin to kuchh nahin

(279) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aish-o-ishrat Sab Sahi Ye Dam Nahin To Kuchh Nahin written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Aish-o-ishrat Sab Sahi Ye Dam Nahin To Kuchh Nahin is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Aish-o-ishrat Sab Sahi Ye Dam Nahin To Kuchh Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aish-o-ishrat Sab Sahi Ye Dam Nahin To Kuchh Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.