Sitam-e-na-rawa Ko Rote Hain, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Sitam-e-na-rawa Ko Rote Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Sitam-e-na-rawa Ko Rote Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sitam-e-na-rawa Ko Rote Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ستم ناروا کو روتے ہیں

ریاضؔ خیرآبادی

ستم ناروا کو روتے ہیں

چرخ تیری جفا کو روتے ہیں

خون رلوا رہی ہے یاد وفا

اک سراپا وفا کو روتے ہیں

اس طرح آئی وقت سے پہلے

آنے والی قضا کو روتے ہیں

اب یہ اس تک پہنچ نہیں سکتا

نالۂ نارسا کو روتے ہیں

بہہ گیا آنکھ سے لہو ہو کر

دل درد آشنا کو روتے ہیں

جان لے کر گیا وہ آخر کار

مرض لا دوا کو روتے ہیں

جانے والے کی یہ نشانی ہے

دیکھ کر نقش پا کو روتے ہیں

درد سا درد ہے بھرا اس میں

ٹوٹے دل کی صدا کو روتے ہیں

روتے جو آئے تھے رلا کے گئے

ابتدا انتہا کو روتے ہیں

رنگ و بو اب کہاں وہ گل ہی نہیں

اس چمن کی ہوا کو روتے ہیں

ہے فضائے چمن غبار آلود

ہم مکدر فضا کو روتے ہیں

خاک میں ملنے کو ہے سب کا حسن

گل رنگیں قبا کو روتے ہیں

مہندی پس کر لہو رلاتی ہے

پسنے والی حنا کو روتے ہیں

نفس سرد یہ بنی بھی تو کیا

موج باد صبا کو روتے ہیں

باغ عالم میں اس طرح بے دید

نرگس نیم وا کو روتے ہیں

چھا گئی کیسی تیرگی ان پر

مہر و مہ کی ضیا کو روتے ہیں

کام آیا نہ یہ کسی کے بھی

خضر آب بقا کو روتے ہیں

چپ ہیں یوں جیسے ان میں جان نہیں

لب معجزنما کو روتے ہیں

اب سوئے آسماں نہیں اٹھتا

اپنے دست دعا کو روتے ہیں

جان کو لے کے ساتھ جانا تھا

اس دل مبتلا کو روتے ہیں

دے گیا داغ غم یہ کون ریاضؔ

ہم غم دیر پا کو روتے ہیں

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sitam-e-na-rawa Ko Rote Hain

Riyaz Khairabadi

sitam-e-na-rawa ko rote hain
charKH teri jafa ko rote hain

KHun rulwa rahi hai yaad-e-wafa
ek sarapa-wafa ko rote hain

is tarah aai waqt se pahle
aane wali qaza ko rote hain

ab ye us tak pahunch nahin sakta
nala-e-na-rasa ko rote hain

bah gaya aankh se lahu ho kar
dil-e-dard-ashna ko rote hain

jaan le kar gaya wo aaKHir-e-kar
maraz-e-la-dawa ko rote hain

jaane wale ki ye nishani hai
dekh kar naqsh-e-pa ko rote hain

dard sa dard hai bhara us mein
TuTe dil ki sada ko rote hain

rote jo aae the rula ke gae
ibtida intiha ko rote hain

rang-o-bu ab kahan wo gul hi nahin
is chaman ki hawa ko rote hain

hai faza-e-chaman ghubar-alud
hum mukaddar faza ko rote hain

KHak mein milne ko hai sab ka husn
gul-e-rangin qaba ko rote hain

mehndi pis kar lahu rulati hai
pisne wali hina ko rote hain

nafas-e-sard ye bani bhi to kya
mauj-e-baad-e-saba ko rote hain

bagh-e-alam mein is tarah be-did
nagis-e-nim-wa ko rote hain

chha gai kaisi tirgi un par
mehr-o-mah ki ziya ko rote hain

kaam aaya na ye kisi ke bhi
KHizr aab-e-baqa ko rote hain

chup hain yun jaise in mein jaan nahin
lab-e-mojiz-numa ko rote hain

ab su-e-asman nahin uThta
apne dast-e-dua ko rote hain

jaan ko le ke sath jaana tha
is dil-e-mubtala ko rote hain

de gaya dagh-e-gham ye kaun 'riyaz'
hum gham-e-der-pa ko rote hain

(281) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sitam-e-na-rawa Ko Rote Hain written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Sitam-e-na-rawa Ko Rote Hain is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Sitam-e-na-rawa Ko Rote Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sitam-e-na-rawa Ko Rote Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.