Ye Kafir But Jinhen Dawa Hai Duniya Mein KHudai Ka, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Ye Kafir But Jinhen Dawa Hai Duniya Mein KHudai Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Ye Kafir But Jinhen Dawa Hai Duniya Mein KHudai Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Kafir But Jinhen Dawa Hai Duniya Mein KHudai Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ کافر بت جنہیں دعویٰ ہے دنیا میں خدائی کا

ریاضؔ خیرآبادی

یہ کافر بت جنہیں دعویٰ ہے دنیا میں خدائی کا

ملیں محشر میں مجھ عاصی کو صدقہ کبریائی کا

یہ مجھ سے سخت جاں پر شوق خنجر آزمائی کا

خدا حافظ مرے قاتل تری نازک کلائی کا

نہ ہو پہلو میں میرے دل تو کوئی بات کیوں پوچھے

یہی تو اک ذریعہ ہے حسینوں تک رسائی کا

تم اچھے غیر اچھا غیر کی تقدیر بھی اچھی

یہ آخر ذکر کیوں ہے میری قسمت کی برائی کا

وہ کیا سوئیں گے غافل ہو کے شب بھر مرے پہلو میں

انہیں یہ فکر ہے نکلے کوئی پہلو لڑائی کا

ہزاروں دیدہ و دل بام لاکھوں طور سے بڑھ کر

کروڑوں جلوہ گاہیں شوق تو ہو خود نمائی کا

قفس میں اب کہاں وہ انبساط صبح آزادی

چمن تک لطف تھا صیاد میری خوشنوائی کا

اشارے پر ترے چل کر یہ لائے رنگ مشکل ہے

ابھی محتاج ہے خنجر ترے دست حنائی کا

کوئی کیا جائے جنت میں کہ اس نے طول کھینچا ہے

قیامت پر بھی سایہ پڑ گیا روز جدائی کا

وہ دن بھی آئے ہم ہوں اور گلیاں ہوں مدینے کی

گدایانہ صدا ہو ہاتھ میں کاسہ گدائی کا

بنائی کیا بری گت مے کدے میں بادہ نوشوں نے

ریاضؔ آئے تھے کل جامہ پہن کر پارسائی کا

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Kafir But Jinhen Dawa Hai Duniya Mein KHudai Ka

Riyaz Khairabadi

ye kafir but jinhen dawa hai duniya mein KHudai ka
milen mahshar mein mujh aasi ko sadqa kibriyai ka

ye mujh se saKHt-jaan par shauq KHanjar-azmai ka
KHuda-hafiz mere qatil teri nazuk kalai ka

na ho pahlu mein mere dil to koi baat kyun puchhe
yahi to ek zariya hai hasinon tak rasai ka

tum achchhe ghair achchha ghair ki taqdir bhi achchhi
ye aaKHir zikr kyun hai meri qismat ki burai ka

wo kya soenge ghafil ho ke shab bhar mare pahlu mein
unhen ye fikr hai nikle koi pahlu laDai ka

hazaron dida-o-dil-e-baam lakhon tur se baDh kar
karoDon jalwa-gahen shauq to ho KHud-numai ka

qafas mein ab kahan wo imbisat-e-subh-e-azadi
chaman tak lutf tha sayyaad meri KHush-nawai ka

ishaare par tere chal kar ye lae rang mushkil hai
abhi mohtaj hai KHanjar tere dast-e-hinai ka

koi kya jae jannat mein ki us ne tul khincha hai
qayamat par bhi saya paD gaya roz-e-judai ka

wo din bhi aae hum hon aur galiyan hon madine ki
gadayana sada ho hath mein kasa gadai ka

banai kya buri gat mai-kade mein baada-noshon ne
'riyaz' aae the kal jama pahan kar parsai ka

(404) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Kafir But Jinhen Dawa Hai Duniya Mein KHudai Ka written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Ye Kafir But Jinhen Dawa Hai Duniya Mein KHudai Ka is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Ye Kafir But Jinhen Dawa Hai Duniya Mein KHudai Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Kafir But Jinhen Dawa Hai Duniya Mein KHudai Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.