Zindagi Wajh-e-munajat Nazar Aati Hai, Urdu Ghazal By Rizwan Haider

Zindagi Wajh-e-munajat Nazar Aati Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rizwan Haider. Zindagi Wajh-e-munajat Nazar Aati Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zindagi Wajh-e-munajat Nazar Aati Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زندگی وجہ مناجات نظر آتی ہے

رضوان حیدر

زندگی وجہ مناجات نظر آتی ہے

موت مایوس کمالات نظر آتی ہے

مختصر تو نے جو دی ہے مجھے دو دن کی حیات

میرے کاسے میں یہ خیرات نظر آتی ہے

کیا کسی شمر نے پھر خیمے جلا ڈالے ہیں

سر کو کھولے ہوئے سادات نظر آتی ہے

کچھ مری بات کی تائید کیا کرتے ہیں

کچھ کو تو صرف خرافات نظر آتی ہے

اس کی ہر بات مجھے لگتی ہے اچھی لیکن

میں جو بولوں تو غلط بات نظر آتی ہے

اب کسی اور کو بھی سوچتے دل ڈرتا ہے

ہجر کی گزری ہوئی رات نظر آتی ہے

رضوان حیدر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zindagi Wajh-e-munajat Nazar Aati Hai

Rizwan Haider

zindagi wajh-e-munajat nazar aati hai
maut mayus-e-kamalat nazar aati hai

muKHtasar tu ne jo di hai mujhe do din ki hayat
mere kase mein ye KHairaat nazar aati hai

kya kisi shimr ne phir KHeme jala Dale hain
sar ko khole hue sadat nazar aati hai

kuchh meri baat ki taid kiya karte hain
kuchh ko to sirf KHurafat nazar aati hai

us ki har baat mujhe lagti hai achchhi lekin
main jo bolun to ghalat baat nazar aati hai

ab kisi aur ko bhi sochte dil Darta hai
hijr ki guzri hui raat nazar aati hai

(445) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zindagi Wajh-e-munajat Nazar Aati Hai written by Rizwan Haider at UrduPoint. Zindagi Wajh-e-munajat Nazar Aati Hai is one of the masterpieces written by Rizwan Haider. You can also find the complete poetry collection of Rizwan Haider by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rizwan Haider' above.

Zindagi Wajh-e-munajat Nazar Aati Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zindagi Wajh-e-munajat Nazar Aati Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.