Mai-kade Ki Shart Daur-e-baada-o-saghar Ki Qaid, Urdu Ghazal By Saba Naqvi

Mai-kade Ki Shart Daur-e-baada-o-saghar Ki Qaid is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saba Naqvi. Mai-kade Ki Shart Daur-e-baada-o-saghar Ki Qaid comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mai-kade Ki Shart Daur-e-baada-o-saghar Ki Qaid on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میکدے کی شرط دور بادہ و ساغر کی قید

صبا نقوی

میکدے کی شرط دور بادہ و ساغر کی قید

ایک میری تشنگی اور اس پہ دنیا بھر کی قید

عشق میں صحرا نوردی کا بہانہ چاہئے

وحشت دل کے لئے اچھی نہیں ہے گھر کی قید

ماورا عرش ہے میرے تخیل کی اڑان

حرف بے معنی سمجھتا ہوں میں بال و پر کی قید

داعی سوز جگر ہو کیوں نہ پروانے کی خاک

شمع محفل کے لئے ہے موم کے پیکر کی قید

زندگی کا ماحصل ہے اضطراب زندگی

جادۂ الفت میں لازم ہے دل مضطر کی قید

آدمی کی خواب گاہیں ہیں صلیب و تیغ بھی

نیند سے بے تاب آنکھوں کو نہیں بستر کی قید

کیا جہان رنگ و نکہت کی قسم کافی نہ تھی

کیوں پئے سوگند رکھی تم نے اپنے سر کی قید

وقت کے سیل رواں کے سامنے کچھ بھی نہیں

بادبان عزم کی بندش ہو یا لنگر کی قید

سر بہ سجدہ جب کبھی ذوق جبیں سائی ہوا

جذب الفت نے لگا دی اس کے سنگ در کی قید

کیا کسی دریا کی لہریں گن نہیں سکتا تھا میں

خواب میں رکھی گئی کیوں ریت کے منظر کی قید

میری نظروں میں محبت وہ عبادت ہے صباؔ

جس عبادت میں نہیں ہے پھول اور پتھر کی قید

صبا نقوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mai-kade Ki Shart Daur-e-baada-o-saghar Ki Qaid

Saba Naqvi

mai-kade ki shart daur-e-baada-o-saghar ki qaid
ek meri tishnagi aur us pe duniya bhar ki qaid

ishq mein sahra-nawardi ka bahana chahiye
wahshat-e-dil ke liye achchhi nahin hai ghar ki qaid

mawara-e-arsh hai mere taKHayyul ki uDan
harf-e-be-mani samajhta hun main baal-o-par ki qaid

dai-e-soz-e-jigar ho kyon na parwane ki KHak
sham-e-mahfil ke liye hai mom ke paikar ki qaid

zindagi ka ma-hasal hai iztirab-e-zindagi
jada-e-ulfat mein lazim hai dil-e-muztar ki qaid

aadmi ki KHwab-gahen hain salib-o-tegh bhi
nind se be-tab aankhon ko nahin bistar ki qaid

kya jahan-e-rang-o-nikhat ki qasam kafi na thi
kyon pae-saugand rakhi tum ne apne sar ki qaid

waqt ke sail-e-rawan ke samne kuchh bhi nahin
baadban-e-azm ki bandish ho ya langar ki qaid

sar-ba-sajda jab kabhi zauq-e-jabin-sai hua
jazb-e-ulfat ne laga di us ke sang-e-dar ki qaid

kya kisi dariya ki lahren gin nahin sakta tha main
KHwab mein rakkhi gai kyon ret ke manzar ki qaid

meri nazron mein mohabbat wo ibaadat hai 'saba'
jis ibaadat mein nahin hai phul aur patthar ki qaid

(407) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mai-kade Ki Shart Daur-e-baada-o-saghar Ki Qaid written by Saba Naqvi at UrduPoint. Mai-kade Ki Shart Daur-e-baada-o-saghar Ki Qaid is one of the masterpieces written by Saba Naqvi. You can also find the complete poetry collection of Saba Naqvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saba Naqvi' above.

Mai-kade Ki Shart Daur-e-baada-o-saghar Ki Qaid is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mai-kade Ki Shart Daur-e-baada-o-saghar Ki Qaid, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.