Nazar Aane Lage Ho Mehrban Se, Urdu Ghazal By Sabir Abuhari

Nazar Aane Lage Ho Mehrban Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sabir Abuhari. Nazar Aane Lage Ho Mehrban Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nazar Aane Lage Ho Mehrban Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نظر آنے لگے ہو مہرباں سے

صابر ابو ہری

نظر آنے لگے ہو مہرباں سے

یہ انداز آ گئے تم میں کہاں سے

کسے راس آئے گی تیری خدائی

اگر ہم اٹھ گئے بزم جہاں سے

بھرم کھل جائے گا تیرے کرم کا

اگر کچھ کہہ دیا ہم نے زباں سے

کہاں سے آ گیا یہ ابر رحمت

ہمیں کچھ کام تھا برق تپاں سے

جسے دیکھو وہی مطلب کا بندہ

محبت اٹھ گئی روئے جہاں سے

کریں گے ذکر تیرے حسن کا بھی

اگر فرصت ملی کار جہاں سے

تڑپتی پھر رہی ہے برق اب تک

الجھ بیٹھی تھی میرے آشیاں سے

یوں ہی روتی نہیں صابرؔ کو دنیا

اسے بھی عشق تھا اہل جہاں سے

صابر ابو ہری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nazar Aane Lage Ho Mehrban Se

Sabir Abuhari

nazar aane lage ho mehrban se
ye andaz aa gae tum mein kahan se

kise ras aaegi teri KHudai
agar hum uTh gae bazm-e-jahan se

bharam khul jaega tere karam ka
agar kuchh kah diya hum ne zaban se

kahan se aa gaya ye abr-e-rahmat
hamein kuchh kaam tha barq-e-tapan se

jise dekho wahi matlab ka banda
mohabbat uTh gai ru-e-jahan se

karenge zikr tere husn ka bhi
agar fursat mili kar-e-jahan se

taDapti phir rahi hai barq ab tak
ulajh baiThi thi mere aashiyan se

yunhi roti nahin 'sabir' ko duniya
use bhi ishq tha ahl-e-jahan se

(442) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nazar Aane Lage Ho Mehrban Se written by Sabir Abuhari at UrduPoint. Nazar Aane Lage Ho Mehrban Se is one of the masterpieces written by Sabir Abuhari. You can also find the complete poetry collection of Sabir Abuhari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sabir Abuhari' above.

Nazar Aane Lage Ho Mehrban Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nazar Aane Lage Ho Mehrban Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.