Ek Lamhe Ko Taza Hawa Jo Chali Umr Bhar Ki GhuTan Ka KHayal Aa Gaya, Urdu Ghazal By Sadiya Roshan Siddiqui

Ek Lamhe Ko Taza Hawa Jo Chali Umr Bhar Ki GhuTan Ka KHayal Aa Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sadiya Roshan Siddiqui. Ek Lamhe Ko Taza Hawa Jo Chali Umr Bhar Ki GhuTan Ka KHayal Aa Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ek Lamhe Ko Taza Hawa Jo Chali Umr Bhar Ki GhuTan Ka KHayal Aa Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایک لمحے کو تازہ ہوا جو چلی عمر بھر کی گھٹن کا خیال آ گیا

سعدیہ روشن صدیقی

ایک لمحے کو تازہ ہوا جو چلی عمر بھر کی گھٹن کا خیال آ گیا

لاکھ مشکل سہی ضبط کرنا مگر اب تو خاصا ہمیں یہ کمال آ گیا

جتنی کلیاں کھلیں جتنے تارے کھلے اس کی آمد کے سب استعارے کھلے

جب تصور کے دامن میں کچھ نہ بچا میرے پہلو میں وہ بے مثال آ گیا

بات بے بات کج بحثیاں بھی گئیں وہ پرانی شکر رنجیاں بھی گئیں

اب نئی شاخ پھوٹی ہے دل میں مرے غم کا تازہ بہ تازہ نہال آ گیا

حال و ماضی مرا ایک جیسا رہا اگلے موسم کے خوابوں کا کیا فائدہ

اس کو فرصت جوابوں کی تھی ہی نہیں میرے لب پہ یہ کیسے سوال آ گیا

ہم نے سوچا تھا اس سے نہ شکوہ کریں جو گزرتی ہے دل پہ وہ خود ہی سہیں

بات جب بھی بدلتی رتوں کی ہوئی اپنے لہجے میں گویا ملال آ گیا

اک تنکے کا مجھ کو سہارا ملے میری وحشت کو اب اک کنارہ ملے

ڈوبتے ڈوبتے سانس لے لوں ذرا زندگی کا بھی آخر خیال آ گیا

چاند تھا وہ افق پر چمکتا رہا اور سورج بنا تو سروں پہ رہا

کیسے قربت پہ وہ آج مائل ہوا شاید اس کا بھی وقت زوال آ گیا

جان پہچان کا سلسلہ بھی گیا دل کا طاؤس بھی رقص فرما ہوا

وہ جو حیرت زدہ بت بنا تھا کھڑا اب تو اس کو بھی گویا دھمال آ گیا

سعدیہ روشن صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Lamhe Ko Taza Hawa Jo Chali Umr Bhar Ki GhuTan Ka KHayal Aa Gaya

Sadiya Roshan Siddiqui

ek lamhe ko taza hawa jo chali umr bhar ki ghuTan ka KHayal aa gaya
lakh mushkil sahi zabt karna magar ab to KHasa hamein ye kamal aa gaya

jitni kaliyan khilin jitne tare khile us ki aamad ke sab istiare khile
jab tasawwur ke daman mein kuchh na bacha mere pahlu mein wo be-misal aa gaya

baat-be-baat kaj-bahsiyan bhi gain wo purani shakar-ranjiyan bhi gain
ab nai shaKH phuTi hai dil mein mere gham ka taza-ba-taza nihaal aa gaya

haal-o-mazi mera ek jaisa raha agle mausam ke KHwabon ka kya faeda
us ko fursat jawabon ki thi hi nahin mere lab pe ye kaise sawal aa gaya

hum ne socha tha us se na shikwa karen jo guzarti hai dil pe wo KHud hi sahen
baat jab bhi badalti ruton ki hui apne lahje mein goya malal aa gaya

ek tinke ka mujh ko sahaara mile meri wahshat ko ab ek kinara mile
Dubte Dubte sans le lun zara zindagi ka bhi aaKHir KHayal aa gaya

chand tha wo ufuq par chamakta raha aur suraj bana to saron pe raha
kaise qurbat pe wo aaj mail hua shayad us ka bhi waqt-e-zawal aa gaya

jaan pahchan ka silsila bhi gaya dil ka taus bhi raqs-farma hua
wo jo hairat-zada but bana tha khaDa ab to us ko bhi goya dhamal aa gaya

(590) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ek Lamhe Ko Taza Hawa Jo Chali Umr Bhar Ki GhuTan Ka KHayal Aa Gaya written by Sadiya Roshan Siddiqui at UrduPoint. Ek Lamhe Ko Taza Hawa Jo Chali Umr Bhar Ki GhuTan Ka KHayal Aa Gaya is one of the masterpieces written by Sadiya Roshan Siddiqui. You can also find the complete poetry collection of Sadiya Roshan Siddiqui by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sadiya Roshan Siddiqui' above.

Ek Lamhe Ko Taza Hawa Jo Chali Umr Bhar Ki GhuTan Ka KHayal Aa Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ek Lamhe Ko Taza Hawa Jo Chali Umr Bhar Ki GhuTan Ka KHayal Aa Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.