Agarche Aaj Bhi Zinda Hain Lekin Kal Mein Rahna Hai, Urdu Ghazal By Sadiya Roshan Siddiqui

Agarche Aaj Bhi Zinda Hain Lekin Kal Mein Rahna Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sadiya Roshan Siddiqui. Agarche Aaj Bhi Zinda Hain Lekin Kal Mein Rahna Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Agarche Aaj Bhi Zinda Hain Lekin Kal Mein Rahna Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اگرچہ آج بھی زندہ ہیں لیکن کل میں رہنا ہے

سعدیہ روشن صدیقی

اگرچہ آج بھی زندہ ہیں لیکن کل میں رہنا ہے

مسلسل ارتقا کے دستۂ اول میں رہنا ہے

ابھی ہم سانس لینے کے بہانے سانس روکیں گے

کشاکش اور کشش کے آہنی چنگل میں رہنا ہے

یہ دل ہے کہ گل نازک عجب ہے اس کا مستقبل

اسے انگار بن کے درد کی منقل میں رہنا ہے

ہوئی تھی برف باری تو وہاں کوہ گراں ہم تھے

اسی باعث تو اب سلگے ہوئے جنگل میں رہنا ہے

ہوا میں خواہش پرداز نے بھی پر نکالے ہیں

زمین رزق ہے مجھ کو اسی دلدل میں رہنا ہے

شکایت کا محل کیا ہے مقام رحم ہے یہ تو

مرے قاتل کو آئندہ اسی مقتل میں رہنا ہے

تمہاری یاد کا ساون برستا ہے برسنے دو

کہ ڈوبوں یا تروں مجھ کو اسی جل تھل میں رہنا ہے

عبارت میں مقام و مرتبہ تو بعد کی شے ہے

ابھی قرطاس پر موہوم سے جدول میں رہنا ہے

ہمیشہ سعدیہؔ کو موسموں کا ساتھ دینا ہے

کبھی کھدر پہننا ہے کبھی مخمل میں رہنا ہے

سعدیہ روشن صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Agarche Aaj Bhi Zinda Hain Lekin Kal Mein Rahna Hai

Sadiya Roshan Siddiqui

agarche aaj bhi zinda hain lekin kal mein rahna hai
musalsal irtiqa ke dasta-e-awwal mein rahna hai

abhi hum sans lene ke bahane sans rokenge
kashakash aur kashish ke aahani chungal mein rahna hai

ye dil hai ki gul-e-nazuk ajab hai is ka mustaqbil
use angar ban ke dard ki minqal mein rahna hai

hui thi barf-bari to wahan koh-e-giran hum the
isi bais to ab sulge hue jangal mein rahna hai

hawa mein KHwahish-e-pardaz ne bhi par nikale hain
zamin-e-rizq hai mujh ko isi daldal mein rahna hai

shikayat ka mahal kya hai maqam-e-rahm hai ye to
mere qatil ko aainda isi maqtal mein rahna hai

tumhaari yaad ka sawan barasta hai barasne do
ki Dubun ya tirun mujh ko isi jal-thal mein rahna hai

ibarat mein maqam-o-martaba to ba'd ki shai hai
abhi qirtas par mauhum se jadwal mein rahna hai

hamesha 'sadiya' ko mausamon ka sath dena hai
kabhi khaddar pahanna hai kabhi maKHmal mein rahna hai

(521) ووٹ وصول ہوئے

You can read Agarche Aaj Bhi Zinda Hain Lekin Kal Mein Rahna Hai written by Sadiya Roshan Siddiqui at UrduPoint. Agarche Aaj Bhi Zinda Hain Lekin Kal Mein Rahna Hai is one of the masterpieces written by Sadiya Roshan Siddiqui. You can also find the complete poetry collection of Sadiya Roshan Siddiqui by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sadiya Roshan Siddiqui' above.

Agarche Aaj Bhi Zinda Hain Lekin Kal Mein Rahna Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Agarche Aaj Bhi Zinda Hain Lekin Kal Mein Rahna Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.