Is Surat-e-haalat Mein Bhi Sabr Karo Ho, Urdu Ghazal By Sadiya Roshan Siddiqui

Is Surat-e-haalat Mein Bhi Sabr Karo Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sadiya Roshan Siddiqui. Is Surat-e-haalat Mein Bhi Sabr Karo Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Is Surat-e-haalat Mein Bhi Sabr Karo Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس صورت حالات میں بھی صبر کرو ہو

سعدیہ روشن صدیقی

اس صورت حالات میں بھی صبر کرو ہو

تم سعدیہؔ بی بی نہ جیو ہو نہ مرو ہو

سر اپنا کسی سنگ سے ٹکراتی ہو پہلے

پھر بعد میں پتھر وہی سینے پہ دھرو ہو

مانگی تھیں دعائیں کسی نادیدہ افق کی

اب روشنیٔ طبع کی وسعت سے ڈرو ہو

محفل میں ہو تنہائی کی چادر کو سنبھالے

تنہائی کے عالم میں کسے یاد کرو ہو

وہ شخص وہی ہے مگر اطوار نئے ہیں

محتاط سی اک رائے کا اظہار کرو ہو

کیا تم نے ہدف ڈھونڈ لیا زور بیاں کا

کیا اپنے کئے پر کبھی تنقید کرو ہو

جب حوصلہ ہمت ہے تو کیا خوف کسی کا

یہ درد تو میراث ہے کیا اس سے ڈرو ہو

ہر ایک سہیلی کی جو آنکھوں میں نمی ہے

کیا اپنے دوپٹے میں اسے جذب کرو ہو

اب سعدیہؔ اس کی کوئی تاویل تو ہوگی

جھلسی ہو کہیں دھوپ میں یوں ابر کرو ہو

سعدیہ روشن صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Is Surat-e-haalat Mein Bhi Sabr Karo Ho

Sadiya Roshan Siddiqui

is surat-e-haalat mein bhi sabr karo ho
tum 'sadiya' bibi na jiyo ho na maro ho

sar apna kisi sang se Takraati ho pahle
phir ba'd mein patthar wahi sine pe dharo ho

mangi thin duaen kisi nadida ufuq ki
ab raushni-e-taba ki wusat se Daro ho

mahfil mein ho tanhai ki chadar ko sanbhaale
tanhai ke aalam mein kise yaad karo ho

wo shaKHs wahi hai magar atwar nae hain
mohtat si ek rae ka izhaar karo ho

kya tum ne hadaf DhunD liya zor-e-bayan ka
kya apne kiye par kabhi tanqid karo ho

jab hausla himmat hai to kya KHauf kisi ka
ye dard to miras hai kya is se Daro ho

har ek saheli ki jo aankhon mein nami hai
kya apne dupaTTe mein use jazb karo ho

ab 'sadiya' us ki koi tawil to hogi
jhulsi ho kahin dhup mein yun abr karo ho

(457) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Is Surat-e-haalat Mein Bhi Sabr Karo Ho written by Sadiya Roshan Siddiqui at UrduPoint. Is Surat-e-haalat Mein Bhi Sabr Karo Ho is one of the masterpieces written by Sadiya Roshan Siddiqui. You can also find the complete poetry collection of Sadiya Roshan Siddiqui by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sadiya Roshan Siddiqui' above.

Is Surat-e-haalat Mein Bhi Sabr Karo Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Is Surat-e-haalat Mein Bhi Sabr Karo Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.